Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

doctor ram babu saksena

Prem Lal Shifa Dehlvi

doctor ram babu saksena

Prem Lal Shifa Dehlvi

MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi

    ik adīb-e-nāmvar ik afsar-e-ā.alī-maqām

    zaat saksena hai jis raam baabū jis naam

    jis ne urdu par kiyā hai qābil-e-tārīf kaam

    jis ko izzat nazar se dekhte haiñ ḳhās-o-ām

    muḳhtalif mumtāz ohdoñ se huā jo sarfarāz

    daur-e-ḳhidmat bhī guzārā jis ne bā-sad-ehtishām

    us ne english meñ likhī urdu tārīḳh-e-adab

    phir kiyā urdu meñ us ko chhāpne ehtimām

    phir yahī tārīḳh hindī tarjuma ho kar chhapī

    ġhair mulkoñ meñ bhī is tālīf hai ehtirām

    zikr-e-ahl-e-harf hai jis meñ likhī vo bhī kitāb

    us meñ samjhāyā 'anīs'-o-'mīr'-o-'ġhālib' maqām

    shā.iroñ haal likkhā un tasvīroñ ke saath

    aur añgrezoñ likkhā fārsī urdu kalām

    haal urdu shā.irān-e-ahl-e-europe likhā

    shā.irān-e-fārsī hai alag hindī kalām

    chhap rahī hai masnavī-e-'mīr' bhī bā-ḳhatt-e-'mīr'

    ab jadīd urdu adab ho rahā hai intizām

    ab kahīñ urdu se vābasta ho koī ijtimā

    har jagah us ko bulāte haiñ sabhī bā-ehtirām

    us ne urdu adab ko zindagī-e-jāvedāñ

    aur urdu se 'shifā' zinda rahegā us naam

    ek adib-e-namwar ek afsar-e-aali-maqam

    zat saksena hai jis ki ram babu jis ka nam

    jis ne urdu par kiya hai qabil-e-tarif kaam

    jis ko izzat ki nazar se dekhte hain KHas-o-am

    muKHtalif mumtaz ohdon se hua jo sarfaraaz

    daur-e-KHidmat bhi guzara jis ne ba-sad-ehtisham

    us ne english mein likhi urdu ki tariKH-e-adab

    phir kiya urdu mein us ko chhapne ka ehtimam

    phir yahi tariKH hindi tarjuma ho kar chhapi

    ghair mulkon mein bhi is talif ka hai ehtiram

    zikr-e-ahl-e-harf hai jis mein likhi wo bhi kitab

    us mein samjhaya 'anis'-o-'mir'-o-'ghaalib' ka maqam

    shairon ka haal likkha un ki taswiron ke sath

    aur angrezon ka likkha farsi urdu kalam

    haal urdu shairan-e-ahl-e-europe ka likha

    shairan-e-farsi ka hai alag hindi kalam

    chhap rahi hai masnawi-e-'mir' bhi ba-KHatt-e-'mir'

    ab jadid urdu adab ka ho raha hai intizam

    ab kahin urdu se wabasta ho koi ijtima

    har jagah us ko bulate hain sabhi ba-ehtiram

    us ne di urdu adab ko zindagi-e-jawedan

    aur urdu se 'shifa' zinda rahega us ka nam

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now