Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

doctor-zakir-husain

Charkh Chinioti

doctor-zakir-husain

Charkh Chinioti

MORE BYCharkh Chinioti

    ek mard-e-bā-safā thā doctor-zākir-husain

    nek-dil farmāñ-ravā thā doctor-zākir-husain

    sāda-dil sāda-mizāj-o-bā-amal insān thā

    ḳhūbiyoñ aa.ina thā doctor-zākir-husain

    pāsdār-e-hurriyat thā ābrū-e-hind thā

    ek sachchā rahnumā thā doctor-zākir-husain

    us ke hāthoñ meñ amānat thī vatan zindagī

    ik amīn-e-bā-vafā thā doctor-zākir-husain

    us ke hāthoñ meñ salāmat thā safīna desh

    ya.anī apnā nāḳhudā thā doctor-zākir-husain

    āsmān-e-ilm thā ik daraḳhshāñ āftāb

    chashma-e-nūr-o-ziyā thā doctor-zākir-husain

    mehrbānī har savālī par kiyā kartā thā vo

    be-basoñ ham-navā thā doctor-zākir-husain

    rahnumā-e-qaum ho kar bhī gadā-e-qaum thā

    bekasoñ aasrā thā doctor-zākir-husain

    shar.a pāband thā lekin ta.assub se barī

    sach to ye hai devtā thā doctor-zākir-husain

    ik daraḳhshanda sitārā thā hamāre desh

    kyā batā.e charḳh kyā thā doctor-zākir-husain

    ek mard-e-ba-safa tha doctor-zakir-husain

    nek-dil farman-rawa tha doctor-zakir-husain

    sada-dil sada-mizaj-o-ba-amal insan tha

    KHubiyon ka aaina tha doctor-zakir-husain

    pasdar-e-hurriyat tha aabru-e-hind tha

    ek sachcha rahnuma tha doctor-zakir-husain

    us ke hathon mein amanat thi watan ki zindagi

    ek amin-e-ba-wafa tha doctor-zakir-husain

    us ke hathon mein salamat tha safina desh ka

    yani apna naKHuda tha doctor-zakir-husain

    aasman-e-ilm ka tha ek daraKHshan aaftab

    chashma-e-nur-o-ziya tha doctor-zakir-husain

    mehrbani har sawali par kiya karta tha wo

    be-bason ka ham-nawa tha doctor-zakir-husain

    rahnuma-e-qaum ho kar bhi gada-e-qaum tha

    bekason ka aasra tha doctor-zakir-husain

    shara ka paband tha lekin tassub se bari

    sach to ye hai dewta tha doctor-zakir-husain

    ek daraKHshanda sitara tha hamare desh ka

    kya batae charKH kya tha doctor-zakir-husain

    Source:

    Husn-e-adab (Pg. B-61 E-63)

    • Author: Charkh Chinioti
      • Edition: 1970
      • Publisher: Bazm-e-Jamal Urdu, Delhi
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now