Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

doraha

Mustafa Zaidi

doraha

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    jaag ai narm-nigāhī ke pur-asrār sukūt

    aaj bīmār pe ye raat bahut bhārī hai

    jo ḳhud apne salāsil meñ giraftār rahe

    un ḳhudāoñ se mire ġham davā kyā hogī

    sochte sochte thak jā.eñge niile sāgar

    jāgte jāgte so jā.egā maddham ākāsh

    is chhalaktī huī shabnam zarā qatra

    kisī ma.asūm se ruḳhsār pe jam jā.egā

    ek taarā nazar aa.egā kisī chilman meñ

    ek aañsū kisī bistar pe bikhar jā.egā

    haañ magar terā ye bīmār kidhar jā.egā

    maiñ ne ik nazm meñ likkhā thā ki ai rūh-e-vafā

    chārasāzī tire nāḳhun rahīn-e-minnat

    ġham-gusārī tirī palkoñ rivāyāt meñ hai

    ek chhoTī ummīd-e-tarab-zār sahī

    ek jugnū ujālā mirī barsāt meñ hai

    lazzat-e-āriz-o-lab sā.at-e-takmīl-e-visāl

    merī taqdīr meñ hai aur tirī baat meñ hai

    dair se, ka.abe se, idrāk se bhī uktā kar

    aaj tak dil ko ujāle talab hotī hai

    ek din aa.egā jab aur bhī uryāñ ho kar

    aadmī jiine ko thoḌī ziyā māñgegā

    giit ke, phuul ke, ash.ār ke, afsānoñ ke

    aaj tak ham ne banā.e haiñ khilaune kitne

    ye khilaune bhī na hote to hamārā bachpan

    sochtā huuñ ki guzartā to guzartā kaise

    aadmī ziist ke sailāb se laḌte laḌte

    biich mañjdhār meñ aatā to ubhartā kaise

    der se ruuh pe ik ḳhvāb-e-girāñ taarī hai

    aaj bīmār pe ye raat bahut bhārī hai

    aaj phir dosh-e-tamannā pe hai dil tābūt

    jaag ai narm-nigāhī ke masīhāna sukūt

    varna insān fitrat talavvun mat pūchh

    is sin-o-sāl maġhrūr laḌakpan mat pūchh

    aadmī terī is uftād se bad-dil ho kar

    aur do-chār ḳhudāoñ ke alam pūjegā

    aur ik roz is andāz se bhī uktā kar

    apne be-nām ḳhayāloñ ke sanam pūjegā

    jag ai narm-nigahi ke pur-asrar sukut

    aaj bimar pe ye raat bahut bhaari hai

    jo KHud apne hi salasil mein giraftar rahe

    un KHudaon se mere gham ki dawa kya hogi

    sochte sochte thak jaenge nile sagar

    jagte jagte so jaega maddham aakash

    is chhalakti hui shabnam ka zara sa qatra

    kisi masum se ruKHsar pe jam jaega

    ek tara nazar aaega kisi chilman mein

    ek aansu kisi bistar pe bikhar jaega

    han magar tera ye bimar kidhar jaega

    main ne ek nazm mein likkha tha ki ai ruh-e-wafa

    chaarasazi tere naKHun ki rahin-e-minnat

    gham-gusari teri palkon ki riwayat mein hai

    ek chhoTi hi si ummid-e-tarab-zar sahi

    ek jugnu ka ujala meri barsat mein hai

    lazzat-e-ariz-o-lab saat-e-takmil-e-visal

    meri taqdir mein hai aur teri baat mein hai

    dair se, kabe se, idrak se bhi ukta kar

    aaj tak dil ko ujale ki talab hoti hai

    ek din aaega jab aur bhi uryan ho kar

    aadmi jine ko thoDi si ziya mangega

    git ke, phul ke, ashaar ke, afsanon ke

    aaj tak hum ne banae hain khilaune kitne

    ye khilaune bhi na hote to hamara bachpan

    sochta hun ki guzarta to guzarta kaise

    aadmi zist ke sailab se laDte laDte

    bich manjdhaar mein aata to ubharta kaise

    der se ruh pe ek KHwab-e-giran tari hai

    aaj bimar pe ye raat bahut bhaari hai

    aaj phir dosh-e-tamanna pe hai dil ka tabut

    jag ai narm-nigahi ke masihana sukut

    warna insan ki fitrat ka talawwun mat puchh

    is sin-o-sal ka maghrur laDakpan mat puchh

    aadmi teri is uftad se bad-dil ho kar

    aur do-chaar KHudaon ke alam pujega

    aur ek roz is andaz se bhi ukta kar

    apne be-nam KHayalon ke sanam pujega

    Source:

    Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Shahr-e-Aazar) (Pg. 45)

    • Author: Mustafa Zaidi
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now