Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dozaKH

Mahmood Ayaz

dozaKH

Mahmood Ayaz

MORE BYMahmood Ayaz

    mauj-e-sahbā meñ tamannā ke safīne kho kar

    naġhma o raqs mahfil se jo ghabrā ke uThā

    ek hañstī huī guḌiyā ne ishāre se kahā

    tum jo chāho to maiñ shab bhar rifāqat baḳhshūñ

    jumbish-e-abrū ne alfāz zahmat bhī na

    nīm-vā āñkhoñ meñ ik dāvat-e-ḳhāmosh liye

    yuuñ simaT kar mirī āġhosh meñ aa.ī jaise

    bharī duniyā meñ bas ik gosha-e-rāhat thā yahī

    ham bhī vīrān guzargāhoñ pe chalte chalte

    ghar tak aa.e to koī rañg-e-takalluf na thā

    do badan milte yuuñ hamdam-e-derīna bane

    tandahi-e-shauq meñ duurī har ehsās miTā

    sub.h ke saath khulī aañkh to ehsās huā

    mere siine meñ koī chiiz thī jo TuuT ga.ī

    der se dekh rahī thī tirī tasvīr mujhe

    tere aariz pe thī bahte hue ashkoñ namī

    terī ḳhāmosh nigāhoñ meñ koī shikva na thā

    dekhte dekhte vīrāni-e-dil aur baḌhī

    terī tasvīr ko siine se lagā kar pūchhā

    kis tarab-zār meñ āsūda hai ai rāhat-e-zīst

    mujhe in aag ke shāloñ meñ kahāñ chhoḌ ga.ī

    mauj-e-sahba mein tamanna ke safine kho kar

    naghma o raqs ki mahfil se jo ghabra ke uTha

    ek hansti hui guDiya ne ishaare se kaha

    tum jo chaho to main shab bhar ki rifaqat baKHshun

    jumbish-e-abru ne alfaz ki zahmat bhi na di

    nim-wa aankhon mein ek dawat-e-KHamosh liye

    yun simaT kar meri aaghosh mein aai jaise

    bhari duniya mein bas ek gosha-e-rahat tha yahi

    hum bhi viran guzargahon pe chalte chalte

    ghar tak aae to koi rang-e-takalluf hi na tha

    do badan milte hi yun hamdam-e-derina bane

    tandahi-e-shauq mein duri ka har ehsas miTa

    subh ke sath khuli aankh to ehsas hua

    mere sine mein koi chiz thi jo TuT gai

    der se dekh rahi thi teri taswir mujhe

    tere aariz pe thi bahte hue ashkon ki nami

    teri KHamosh nigahon mein koi shikwa na tha

    dekhte dekhte virani-e-dil aur baDhi

    teri taswir ko sine se laga kar puchha

    kis tarab-zar mein aasuda hai ai rahat-e-zist

    mujhe in aag ke shaalon mein kahan chhoD gai

    Source:

    naqsh-e-bar aab (Pg. 64)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now