Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

drawing-room

Salam Machhli shahri

drawing-room

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    ye scenary hai ye tāj-mahal ye kirshn haiñ aur ye rādhā haiñ

    ye coach hai ye pipe hai mirā ye novel hai ye risāla hai

    ye radio hai ye qumqume haiñ ye mez hai ye gul-dasta hai

    ye 'gāñdhī' haiñ 'tagore' haiñ ye ye shāhansha ye malika haiñ

    har chiiz bābat pūchhtī hai jaane kitnī ma.asūm hai ye

    haañ is par raat ko sone se mīThī mīThī niiñd aatī hai

    haañ is ke dabāne se bijlī raushnī gul ho jaatī hai

    samjhī ki nahīñ ye kamra hai haañ merā drawing-rōm hai ye

    itnī jaldī mazdūr aurat āḳhir ye gale meñ bāñheñ kyuuñ

    le der huī ab bhaag bhī bas itnī mohabbat kaafī hai

    is mulk ke bhūke pyāsoñ ko paise hājat kaafī hai

    itnī hañsmukh ḳhāmoshī itnī mānūs nigāheñ kyuuñ

    maiñ soch rahā huuñ kuchh baiThā pipe ke dhuveñ ke bādal meñ

    maiñ chhup gayā huuñ ik nāzuk taḳh.īl ke maile āñchal meñ

    ye scenary hai ye taj-mahal ye kirshn hain aur ye radha hain

    ye coach hai ye pipe hai mera ye nowel hai ye risala hai

    ye radio hai ye qumqume hain ye mez hai ye gul-dasta hai

    ye 'gandhi' hain 'tagore' hain ye ye shahansha ye malika hain

    har chiz ki babat puchhti hai jaane kitni masum hai ye

    han is par raat ko sone se miThi miThi nind aati hai

    han is ke dabane se bijli ki raushni gul ho jati hai

    samjhi ki nahin ye kamra hai han mera drawing-room hai ye

    itni jaldi mazdur aurat aaKHir ye gale mein banhen kyun

    le der hui ab bhag bhi ja bas itni mohabbat kafi hai

    is mulk ke bhuke pyason ko paise hi ki hajat kafi hai

    itni hansmukh KHamoshi itni manus nigahen kyun

    main soch raha hun kuchh baiTha pipe ke dhuwen ke baadal mein

    main chhup sa gaya hun ek nazuk taKHil ke maile aanchal mein

    Source:

    Nai Nazm ka safar (Pg. 99)

    • Author: Khalilur Rahman Azmi
      • Edition: 2011
      • Publisher: NCPUL, New Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now