Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dua

MORE BYKausar Siddiqi

    rab falak se ūñchā is desh ko uThā de

    mere chaman ko sab se achchhā chaman banā de

    izzat baḌoñ karnā chhoToñ se pyaar karnā

    duniyā saarī achchhī bāteñ hameñ sikhā de

    manzil nasīb karnā gumrāhī se bachānā

    jo sīdhe rāste haiñ un par hameñ chalā de

    mahfūz rakhnā shāḳheñ bulbul ke āshiyāñ

    is gulsitāñ meñ rab phuul amn ke khilā de

    har phuul har kalī kartā rahūñ hifāzat

    jannat se is chaman maalī mujhe banā de

    baḌhte hue añdhere nafrat ke ḳhatm kar ke

    har dil meñ ektā ik sham.a phir jalā de

    har peḌ is chaman phūle phale hamesha

    gahvāra shāñtī rab ise banā de

    ya rab falak se uncha is desh ko uTha de

    mere chaman ko sab se achchha chaman bana de

    izzat baDon ki karna chhoTon se pyar karna

    duniya ki sari achchhi baaten hamein sikha de

    manzil nasib karna gumrahi se bachana

    jo sidhe raste hain un par hamein chala de

    mahfuz rakhna shaKHen bulbul ke aashiyan ki

    is gulsitan mein ya rab phul amn ke khila de

    har phul har kali ki karta rahun hifazat

    jannat se is chaman ka mali mujhe bana de

    baDhte hue andhere nafrat ke KHatm kar ke

    har dil mein ekta ki ek shama phir jala de

    har peD is chaman ka phule phale hamesha

    gahwara shanti ka ya rab ise bana de

    Source:

    Hariyali (Pg. 42)

    • Author: Kausar Siddiqi
      • Publisher: Kausar Siddiqi
      • Year of Publication: 2005

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now