Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DugDugi wale

Khalid Moin

DugDugi wale

Khalid Moin

MORE BYKhalid Moin

    tum ho DugDugī vaale

    DugDugī bajāte ho

    aur chāhte ho ye

    DugDugī ke bajte

    ḳhalaq-e-shahr-e-be-parvā

    nāchne meñ lag jaa.e

    tum ho DugDugī vaale

    par ye log jin ko tum

    DugDugī ke parde meñ

    nāchnā sikhāte ho

    aañkh bhī to rakhte haiñ

    soch bhī to sakte haiñ

    tum ho DugDugī vaale

    koī aane vaalā din

    is tarah bhī aa.egā

    DugDugī ke bajte

    ḳhalaq-e-shahr-e-be-parvā

    ġhaflatoñ se jāgegī

    aur tumhāre hāthoñ meñ

    DugDugī ke badle ik

    aa.ina thamā degī

    tum ho DugDugī vaale

    DugDugī bajāte ho

    tum ho DugDugi wale

    DugDugi bajate ho

    aur chahte ho ye

    DugDugi ke bajte hi

    KHalaq-e-shahr-e-be-parwa

    nachne mein lag jae

    tum ho DugDugi wale

    par ye log jin ko tum

    DugDugi ke parde mein

    nachna sikhate ho

    aankh bhi to rakhte hain

    soch bhi to sakte hain

    tum ho DugDugi wale

    koi aane wala din

    is tarah bhi aaega

    DugDugi ke bajte hi

    KHalaq-e-shahr-e-be-parwa

    ghaflaton se jagegi

    aur tumhaare hathon mein

    DugDugi ke badle ek

    aaina thama degi

    tum ho DugDugi wale

    DugDugi bajate ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now