Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dushmani ka lutf

Shariq Kaifi

dushmani ka lutf

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    kisī jhagḌe se bas itne zarā se fāsle par

    agar ab bhī hamārī dostī qaa.em hai

    to aao

    mubārakbād deñ ik dūsre ko

    magar ik baat samjhā duuñ maiñ tum ko

    agar ham meñ kabhī jhagḌā huā bhī

    to maiñ us dushmanī lutf to lene nahīñ dūñgā tumheñ hargiz

    vo jis chaah har jhagḌe zimmedār hotī hai

    mirī nazroñ meñ jhagḌe tasavvur kuchh alag hai

    vo hai bas dostī ḳhatm ho jaanā

    maiñ rishte ko kabhī bhī dushmanī shakl meñ

    jaarī nahīñ rakhtā

    kisi jhagDe se bas itne zara se fasle par

    agar ab bhi hamari dosti qaem hai

    to aao

    mubarakbaad den ek dusre ko

    magar ek baat samjha dun main tum ko

    agar hum mein kabhi jhagDa hua bhi

    to main us dushmani ka lutf to lene nahin dunga tumhein hargiz

    wo jis ki chah har jhagDe ki zimmedar hoti hai

    meri nazron mein jhagDe ka tasawwur kuchh alag hai

    wo hai bas dosti ka KHatm ho jaana

    main rishte ko kabhi bhi dushmani ki shakl mein

    jari nahin rakhta

    Source:

    Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 125)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now