Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dusra janam

Irfan Shahood

dusra janam

Irfan Shahood

MORE BYIrfan Shahood

    āfrīnash samay Daal diije ḳhudāyā

    badan meñ tanavvo hairat-garī

    merī maurūsiyat jaḌoñ meñ har ik saañs letī ikaa.ī ke ḳhaliyoñ miTTī bane

    riiḌh markazī jāliyoñ meñ ajā.ib-kadoñ ḳhazāna chhupe

    mere hāthoñ pe bhaTke hue rāh-gīroñ manzil naqsha bane

    aur āñkhoñ in putliyoñ meñ tilismī charāġhoñ jañgal base

    apnī āñkhoñ is raushnī se zamīñ tahoñ ko farozāñ karūñ

    aur fāqa-kashoñ zamīnoñ meñ gehūñ sūrat uguuñ

    be-vatan kashtiyoñ ke muhājir qabīloñ māñjhī banūñ

    sard parbat tīkhī havāoñ ko sahte makīnoñ sūraj banūñ

    aur azal se guphāoñ ke tārīk manzar meñ pahlī shuāoñ muzhda banūñ

    haDDiyāñ noch khāte hue devtāoñ ke sīnoñ meñ paltī havas safāyā karūñ

    khurdure paañv vāloñ ke paañv tale

    maḳhmalīñ sabz sapne bichhātī huī ghaas ek rasta banūñ

    ye jo mumkin na ho to mirī ḳhaak se chand girte makānoñ dīvār ko uThā dījiye

    merī miTTī se maskan banā dījiye

    aafrinash samay Dal dije KHudaya

    badan mein tanawwo ki hairat-gari

    meri maurusiyat ki jaDon mein har ek sans leti ikai ke KHaliyon ki miTTi bane

    riDh ki markazi jaliyon mein ajaib-kadon ka KHazana chhupe

    mere hathon pe bhaTke hue rah-giron ki manzil ka naqsha bane

    aur aankhon ki in putliyon mein tilismi charaghon ka jangal base

    apni aankhon ki is raushni se zamin ki tahon ko farozan karun

    aur faqa-kashon ki zaminon mein gehun ki surat ugun

    be-watan kashtiyon ke muhajir qabilon ka manjhi banun

    sard parbat ki tikhi hawaon ko sahte makinon ka suraj banun

    aur azal se guphaon ke tarik manzar mein pahli shuaon ka muzhda banun

    haDDiyan noch khate hue dewtaon ke sinon mein palti hawas ka safaya karun

    khurdure panw walon ke panw tale

    maKHmalin sabz sapne bichhati hui ghas ka ek rasta banun

    ye jo mumkin na ho to meri KHak se chand girte makanon ki diwar ko hi uTha dijiye

    meri miTTi se maskan bana dijiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now