Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

balidan

Zahid Dar

balidan

Zahid Dar

MORE BYZahid Dar

    jab bārish barsī log bahut ro.e

    ham mandir meñ so.e

    jab dhuup khilī to log bahut ro.e

    ham jañgal meñ so.e

    logoñ ko ġhussa aayā

    aur ham ko aan jagāyā

    ham jāgte haiñ tum sote ho ullū ke paThThe

    tum tanhā ho ham log ikaTThe

    ham būḌhe haiñ tum bachche

    tum jhūTe ho ham sachche

    yuuñ paap hai sonā

    jab dhuup khile bārish barse ronā

    jab bārish barsī dhuup khilī

    ham ro.e

    aur niiñd daulat miTTī meñ dafnā.ī

    phir niiñd ke phuul khile

    aur niiñd ḳhushbū chāroñ aur uḌaa.ī

    jab bārish barsī mandir meñ kuchh log mile

    sab so.e

    jab dhuup khilī to jañgal meñ kuchh log mile

    so.e

    phir apnī nādānī par

    aur daulat qurbānī par

    ham ḳhuub hañse

    ham itnā hañse ke ro.e

    jab barish barsi log bahut hi roe

    hum mandir mein ja soe

    jab dhup khili to log bahut hi roe

    hum jangal mein ja soe

    logon ko ghussa aaya

    aur hum ko aan jagaya

    hum jagte hain tum sote ho ullu ke paThThe

    tum tanha ho hum log ikaTThe

    hum buDhe hain tum bachche

    tum jhuTe ho hum sachche

    yun pap hai sona

    jab dhup khile ya barish barse rona

    jab barish barsi dhup khili

    hum roe

    aur nind ki daulat miTTi mein dafnai

    phir nind ke phul khile

    aur nind ki KHushbu chaaron aur uDai

    jab barish barsi mandir mein kuchh log mile

    sab soe

    jab dhup khili to jangal mein kuchh log mile

    soe

    phir apni nadani par

    aur daulat ki qurbani par

    hum KHub hanse

    hum itna hanse ke roe

    Source:

    tanhaa.ii (Pg. 210)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now