aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas-e-fana

Muneer Wahidi

ehsas-e-fana

Muneer Wahidi

MORE BYMuneer Wahidi

    rah-e-manzil meñ ham dushvāriyoñ ġham nahīñ karte

    guzar jaate haiñ hañs kar fikr-e-pech-o-ḳham nahīñ karte

    uḌāte ho hañsī vāraftagān-e-kū-e-vahshat

    ḳhirad-mando tumheñ to ham sharīk-e-ġham nahīñ karte

    jamāl-e-quds qurbat bhī kitnī rūh-parvar hai

    ki is manzil meñ ahl-e-dil fanā ġham nahīñ karte

    rah-e-manzil meñ ehsās-e-fanā āġhāz-e-manzil hai

    ayaañ har bul-havas par rāz-e-kaif-o-kam nahīñ karte

    kabhī aflāk rif.at kabhī hai ḳhaak pastī

    gila phir bhī tirā ai gardish-e-paiham nahīñ karte

    'munīr' īsār par apne hai tārīḳh-e-junūñ nāzāñ

    matā-e-zindagī luTne ham mātam nahīñ karte

    rah-e-manzil mein hum dushwariyon ka gham nahin karte

    guzar jate hain hans kar fikr-e-pech-o-KHam nahin karte

    uDate ho hansi waraftagan-e-ku-e-wahshat ki

    KHirad-mando tumhein to hum sharik-e-gham nahin karte

    jamal-e-quds ki qurbat bhi kitni ruh-parwar hai

    ki is manzil mein ahl-e-dil fana ka gham nahin karte

    rah-e-manzil mein ehsas-e-fana aaghaz-e-manzil hai

    ayan har bul-hawas par raaz-e-kaif-o-kam nahin karte

    kabhi aflak ki rifat kabhi hai KHak ki pasti

    gila phir bhi tera ai gardish-e-paiham nahin karte

    'munir' isar par apne hai tariKH-e-junun nazan

    mata-e-zindagi luTne ka hum matam nahin karte

    Source:

    Kalam-e-Muneer Wahidi (Pg. 124)

      • Publisher: Nushad Alam
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now