Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas-e-kaamran

Sahir Ludhianvi

ehsas-e-kaamran

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    ufuq-e-rūs se phūTī hai na.ī sub.h zau

    shab tārīk jigar chaak huā jaatā hai

    tīrgī jitnā sambhalne ke liye ruktī hai

    surḳh sail aur bhī bebāk huā jaatā hai

    sāmrāj apne vasīloñ pe bharosa na kare

    kohna zanjīroñ jhankāreñ nahīñ rah saktīñ

    jazba-e-nusrat-e-jamhūr baḌhtī rau meñ

    mulk aur qaum dīvāreñ nahīñ rah saktīñ

    sañg-o-āhan chaTTāneñ haiñ avāmī jazbe

    maut ke reñgte sāyoñ se kaho haT jaa.eñ

    karvaTeñ le ke machalne ko hai sail-e-anvār

    tīra-o-tār ghaTāoñ se kaho chhaT jaa.eñ

    sāl-hā-sāl ke bechain sharāroñ ḳharosh

    ik na.ī ziist dar baaz kiyā chāhtā hai

    azm-e-āzādī-e-insāñ ba-hazārāñ jabrūt

    ik na.e daur āġhāz kiyā chāhtā hai

    bartar aqvām ke maġhrūr ḳhudāoñ se kaho

    āḳhirī baar zarā apnā tarāna dohrā.eñ

    aur phir apnī siyāsat pe pashemāñ ho kar

    apne nākām irādoñ kafan le aa.eñ

    surḳh tūfān maujoñ ke jakaḌne ke liye

    koī zanjīr-e-girāñ kaam nahīñ aa saktī

    raqs kartī huī kirnoñ ke talātum qasam

    arsa-e-dahr pe ab shaam nahīñ chhā saktī

    ufuq-e-rus se phuTi hai nai subh ki zau

    shab ka tarik jigar chaak hua jata hai

    tirgi jitna sambhalne ke liye rukti hai

    surKH sail aur bhi bebak hua jata hai

    samraj apne wasilon pe bharosa na kare

    kohna zanjiron ki jhankaren nahin rah saktin

    jazba-e-nusrat-e-jamhur ki baDhti rau mein

    mulk aur qaum ki diwaren nahin rah saktin

    sang-o-ahan ki chaTTanen hain awami jazbe

    maut ke rengte sayon se kaho haT jaen

    karwaTen le ke machalne ko hai sail-e-anwar

    tira-o-tar ghaTaon se kaho chhaT jaen

    sal-ha-sal ke bechain shararon ka KHarosh

    ek nai zist ka dar baz kiya chahta hai

    azm-e-azadi-e-insan ba-hazaran jabrut

    ek nae daur ka aaghaz kiya chahta hai

    bartar aqwam ke maghrur KHudaon se kaho

    aaKHiri bar zara apna tarana dohraen

    aur phir apni siyasat pe pasheman ho kar

    apne nakaam iradon ka kafan le aaen

    surKH tufan ki maujon ke jakaDne ke liye

    koi zanjir-e-giran kaam nahin aa sakti

    raqs karti hui kirnon ke talatum ki qasam

    arsa-e-dahr pe ab sham nahin chha sakti

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 101)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now