aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nadaron ki eid

Nushur Wahidi

nadaron ki eid

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    zardār namāzī eid ke din kapḌoñ meñ chamakte jaate haiñ

    nādār musalmāñ masjid meñ jaate bhī huī sharmāte haiñ

    malbūs pareshāñ dil ġhamgīñ iflās ke nashtar khāte haiñ

    masjid ke farishte insāñ ko insān se kamtar paate haiñ

    qur.āñ se dhuāñ uThtā hai īmān sar jhuk jaatā hai

    tasbīh se uThte haiñ sho.ale sajdoñ ko pasīna aatā hai

    vo vāsta jis ko fāqoñ roze roze be-bechāra kyā rakkhe

    din dekh chukā shab dekh chukā qismat sahārā kyā rakhe

    ḳhālī hoñ lahū se jis rageñ vo dil sharāra kyā rakkhe

    īmān lazzat diiñ bharam iflās maarā kyā rakkhe

    tārīk dikhā.ī detī hai duniyā ye mah-o-ḳhurshīd use

    rozī sahārā ho jis din vo roz hai roz-e-eid use

    ik mādar-e-muflis eid ke din bachchoñ ko liye bahlātī hai

    sar un kabhī sahlātī hai narmī se kabhī samjhātī hai

    qismat pe kabhī jhunjhlātī hai jiine se kabhī tañg aatī hai

    zardār paḌosan ḳhush ho kar sab dekhtī hai aur khātī hai

    paise pujārī duniyāñ meñ sach pūchho to insāñ ho na sakā

    daulat kabhī īmāñ na sakī sarmāya musalmāñ ho na sakā

    nau-ḳhez dulhan aur eid din kapḌoñ se numāyāñ bad-halī

    kumhlā.e hue se ġhunche-tar murjhā.ī huī hariyālī

    sūkhā huā chehra ġhurbat se utrī huī hoñToñ laalī

    māyūs nazar TuuTā huā dil aur haath bhī paise se ḳhālī

    shauhar nazar hasrat se bharī uThtī hai to ḳhud jhuk jaatī hai

    ehsās-e-mohabbat duniyāñ us manzar se tharrātī hai

    ḳhuuñ chuus rahā hai paudoñ ik phuul jo ḳhandāñ hotā hai

    pāmāl banā kar sabzoñ ko ik sarv ḳharāma hotā hai

    charbī mil kar insānoñ ik chehra daraḳhshāñ hotā hai

    ye eid ke jalve bante haiñ jab ḳhūn-e-ġharībāñ hotā hai

    muflis javānī eid ke din jab sub.h se aaheñ bhartī hai

    duniyā ye amīroñ duniyā tab eid ḳhushiyāñ kartī hai

    zardar namazi eid ke din kapDon mein chamakte jate hain

    nadar musalman masjid mein jate bhi hui sharmate hain

    malbus pareshan dil ghamgin iflas ke nashtar khate hain

    masjid ke farishte insan ko insan se kamtar pate hain

    quran se dhuan sa uThta hai iman ka sar jhuk jata hai

    tasbih se uThte hain shoale sajdon ko pasina aata hai

    wo wasta jis ko faqon roze roze be-bechaara kya rakkhe

    din dekh chuka shab dekh chuka qismat ka sahaara kya rakhe

    KHali hon lahu se jis ki ragen wo dil ka sharara kya rakkhe

    iman ki lazzat din ka bharam iflas ka mara kya rakkhe

    tarik dikhai deti hai duniya ye mah-o-KHurshid use

    rozi ka sahaara ho jis din wo roz hai roz-e-eid use

    ek madar-e-muflis eid ke din bachchon ko liye bahlati hai

    sar un ka kabhi sahlati hai narmi se kabhi samjhati hai

    qismat pe kabhi jhunjhlati hai jine se kabhi tang aati hai

    zardar paDosan KHush ho kar sab dekhti hai aur khati hai

    paise ka pujari duniyan mein sach puchho to insan ho na saka

    daulat kabhi iman la na saki sarmaya musalman ho na saka

    nau-KHez dulhan aur eid ka din kapDon se numayan bad-hali

    kumhlae hue se ghunche-tar murjhai hui si hariyali

    sukha hua chehra ghurbat se utri hui honTon ki lali

    mayus nazar TuTa hua dil aur hath bhi paise se KHali

    shauhar ki nazar hasrat se bhari uThti hai to KHud jhuk jati hai

    ehsas-e-mohabbat ki duniyan us manzar se tharraati hai

    KHun chus raha hai paudon ka ek phul jo KHandan hota hai

    pamal bana kar sabzon ko ek sarw KHarama hota hai

    charbi mil kar insanon ki ek chehra daraKHshan hota hai

    ye eid ke jalwe bante hain jab KHun-e-ghariban hota hai

    muflis ki jawani eid ke din jab subh se aahen bharti hai

    duniya ye amiron ki duniya tab eid ki KHushiyan karti hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nushur Wahidi

    Nushur Wahidi

    Source:

    Nushoor Wahedi Veyaktitiva Chhaya Aur Shayri (Urdu Poetry) (Pg. 135)

    • Author: Niaz wahedi
      • Edition: 2003
      • Publisher: Niaz wahedi
      • Year of Publication: 2003

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now