Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid

MORE BYAsghar Ali Tabassum

    merī hamdam

    gungunātī muskurātī

    ek vo bhī eid thī

    dil meñ terī diid armāñ liye

    tujh se milne eid kitne shauq se

    terī bastī DhūñD kar pahuñchā thā maiñ

    mujh ko ab tak yaad hai vo chāñd raat

    jab kiyā thā ne merā intizār

    merī hamdam

    ek ye bhī eid hai

    suunā suunā saarā shahr

    karb-e-tanhā.ī zahr

    dil ik ik rag meñ hai phailā huā

    tujh se milne koī jaldī nahīñ

    tujh ko bhī shāyad nahīñ hai intizār

    khankhanātī chūḌiyāñ maiñ ne tujhe bhejī nahīñ

    pyaar ḳhushbū meñ lipTā

    terā rūmāl tak pahuñchā nahīñ

    meri hamdam

    gungunati muskuraati

    ek wo bhi eid thi

    dil mein teri did ka arman liye

    tujh se milne eid kitne shauq se

    teri basti DhunD kar pahuncha tha main

    mujh ko ab tak yaad hai wo chand raat

    jab kiya tha tu ne mera intizar

    meri hamdam

    ek ye bhi eid hai

    suna suna sara shahr

    karb-e-tanhai ka zahr

    dil ki ek ek rag mein hai phaila hua

    tujh se milne ki koi jaldi nahin

    tujh ko bhi shayad nahin hai intizar

    khankhanati chuDiyan main ne tujhe bheji nahin

    pyar ki KHushbu mein lipTa

    tera ji rumal tak pahuncha nahin

    Source:

    Aatish-e-Ehsas (Pg. 118)

    • Author: Asghar Ali Tabassum
      • Publisher: Darul Kitab, Lahore
      • Year of Publication: 1988

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now