Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aam si laDki

Naresh Kumar Shad

ek aam si laDki

Naresh Kumar Shad

MORE BYNaresh Kumar Shad

    vo ek aam laḌkī hai dekh kar jis ko

    na jaane kyuuñ mujhe aisā ḳhayāl aatā hai

    ki us ke hañsne andāz ye batātā hai

    huī nahīñ hai ġham-e-dil se rasm-o-rāh abhī

    paḌī nahīñ hai koī choT abhī rag-e-jāñ par

    kisī nigāh se uljhī nahīñ nigāh abhī

    vo ek aam laḌkī ik aisā jazba hai

    milī nahīñ jise alfāz meñ panāh abhī

    vo ek aam laḌkī hai jaise chhā.ī huī

    mire javān ḳhayāloñ pe be-ḳhudī tarah

    ḳhayāl aatā hai ik phuul banñe vaalī hai

    vo kam-sinī jo hai muñh-band kalī tarah

    jo rañg ban ke hai mahbūs us ke paikar meñ

    vo bū-e-husn to phailegī raushnī tarah

    vo ek aam laḌkī hai jis ke saada nuqūsh

    chamak uTTheñge mohabbat sard aahoñ se

    jahāñ pe phuul to kyā dil bujhe hue hoñge

    guzarne vaalī hai vo in hasīn rāhoñ se

    abhī to ḳhair se ma.asūmiyat Tapaktī hai

    magar sharāb bhī Tapkegī un nigāhoñ se

    vo ek aam laḌkī hai jis ke baare meñ

    na jaane zehn meñ aate haiñ kyuuñ ḳhayāl ka.ī

    magar baḌe tahayyur se aaj subah ke vaqt

    sunī hai maiñ ne mohalle meñ ek baat na.ī

    guzishta shab ko vahī ek aam laḌkī

    ḳhud apne ghar ke mulāzim ke saath bhaag ga.ī

    wo ek aam si laDki hai dekh kar jis ko

    na jaane kyun mujhe aisa KHayal aata hai

    ki us ke hansne ka andaz ye batata hai

    hui nahin hai gham-e-dil se rasm-o-rah abhi

    paDi nahin hai koi choT abhi rag-e-jaan par

    kisi nigah se uljhi nahin nigah abhi

    wo ek aam si laDki ek aisa jazba hai

    mili nahin jise alfaz mein panah abhi

    wo ek aam si laDki hai jaise chhai hui

    mere jawan KHayalon pe be-KHudi ki tarah

    KHayal aata hai ek phul banne wali hai

    wo kam-sini jo hai munh-band si kali ki tarah

    jo rang ban ke hai mahbus us ke paikar mein

    wo bu-e-husn to phailegi raushni ki tarah

    wo ek aam si laDki hai jis ke sada nuqush

    chamak uTThenge mohabbat ki sard aahon se

    jahan pe phul to kya dil bujhe hue honge

    guzarne wali hai wo in hasin rahon se

    abhi to KHair se masumiyat Tapakti hai

    magar sharab bhi Tapkegi un nigahon se

    wo ek aam si laDki hai jis ke bare mein

    na jaane zehn mein aate hain kyun KHayal kai

    magar baDe hi tahayyur se aaj subah ke waqt

    suni hai main ne mohalle mein ek baat nai

    guzishta shab ko wahi ek aam si laDki

    KHud apne ghar ke mulazim ke sath bhag gai

    Source:

    Sangam (Pg. 47)

    • Author: Naresh Kumar Shad
      • Edition: 1960
      • Publisher: New Taj Office,Delhi
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now