Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek baat

Zuhoor Nazar

ek baat

Zuhoor Nazar

MORE BYZuhoor Nazar

    mujhe har ik baat ḳhabar hai

    jo ho chukī hai

    jo ho rahī hai

    jo hone vaalī hai aaj lekin

    maiñ sirf us baat ke bhañvar meñ utar rahā huuñ

    jo hone vaalī hai

    jis ko sargoshiyoñ ik be-karāñ samundar

    ugalne vaalā hai

    kārvāñ jis ab hikāyat sar-zamīnoñ pe chalne vaalā hai

    jis ko har dāstāñ gale se lagāne vaalī hai

    jis haañ meñ har ek haañ haañ milāne vaalī hai

    aao logo

    talab ke sāhil pe ḳhāmushī dabīz chādar lapeT kar sone vaale logo

    shāyad andoh ke añdhere meñ ḳhauf ḳhār-dār chādar lapeT kar rone vaale logo

    suno ki jo baat hone vaalī hai us āġhāz ho rahā hai

    suno ki ye baat aap hai

    suno ye baat ruus aur chiin nahīñ hai

    vahāñ to us ko hue zamāna guzar chukā hai

    ye baat vietnam aur cambodia bhī ab nahīñ rahī hai

    vahāñ to ab us shakl ik dāstāñ sūrat meñ Dhal chukī hai

    vahāñ se ye baat chal chukī hai

    ye baat ab tum karoge tum

    jin ke vahm meñ bhī na thā ki ik din

    use tumhāre lahū lahū lab adā kareñge

    yahī to is baat karishma hai mo.ajiza hai

    ki ibtidā us jab bhī hogī

    vahī kareñge

    jo intihā ke haqīr hoñge

    magar bahut bā-zamīr hoñge

    mujhe tumhāre

    mujhe tumhāre haqīr aur bā-zamīr hone meñ shak nahīñ hai

    ki maiñ bhī tum meñ se ek huuñ aur jāntā huuñ

    ki tum jo muddat se ḳhāmushī dabīz chādar lapeT kar so rahe ho

    kyā ho

    ki tum jo andoh ke añdhere meñ ḳhauf ḳhār-dār chādar

    lapeT kar ro rahe ho kyā huā

    suno ki jo baat hone vaalī thī ho rahī hai

    maiñ is āġhāz kar chukā huuñ

    uTho apne lahū lahū lab

    mirī sadā ke laboñ pe rakh do

    mujhe har ek baat ki KHabar hai

    jo ho chuki hai

    jo ho rahi hai

    jo hone wali hai aaj lekin

    main sirf us baat ke bhanwar mein utar raha hun

    jo hone wali hai

    jis ko sargoshiyon ka ek be-karan samundar

    ugalne wala hai

    karwan jis ka ab hikayat ki sar-zaminon pe chalne wala hai

    jis ko har dastan gale se lagane wali hai

    jis ki han mein har ek han han milane wali hai

    aao logo

    talab ke sahil pe KHamushi ki dabiz chadar lapeT kar sone wale logo

    shayad andoh ke andhere mein KHauf ki KHar-dar chadar lapeT kar rone wale logo

    suno ki jo baat hone wali hai us ka aaghaz ho raha hai

    suno ki ye baat aap ki hai

    suno ki ye baat rus aur chin ki nahin hai

    wahan to us ko hue zamana guzar chuka hai

    ye baat wietnam aur cambodia ki bhi ab nahin rahi hai

    wahan to ab us ki shakl ek dastan ki surat mein Dhal chuki hai

    wahan se ye baat chal chuki hai

    ye baat ab tum karoge tum

    jin ke wahm mein bhi na tha ki ek din

    use tumhaare lahu lahu lab ada karenge

    yahi to is baat ka karishma hai moajiza hai

    ki ibtida us ki jab bhi hogi

    wahi karenge

    jo intiha ke haqir honge

    magar bahut ba-zamir honge

    mujhe tumhaare

    mujhe tumhaare haqir aur ba-zamir hone mein shak nahin hai

    ki main bhi tum mein se ek hun aur jaanta hun

    ki tum jo muddat se KHamushi ki dabiz chadar lapeT kar so rahe ho

    kya ho

    ki tum jo andoh ke andhere mein KHauf ki KHar-dar chadar

    lapeT kar ro rahe ho kya hua

    suno ki jo baat hone wali thi ho rahi hai

    main is ka aaghaz kar chuka hun

    uTho apne lahu lahu lab

    meri sada ke labon pe rakh do

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 218)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now