Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek din larans bagh mein

Noon Meem Rashid

ek din larans bagh mein

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    baiThā huā huuñ sub.h se larense-bāġh meñ

    afkār hujūm hai mere dimāġh meñ

    chhāyā huā hai chaar taraf baaġh meñ sukūt

    tanhā.iyoñ god meñ leTā huā huuñ maiñ

    ashjār baar baar Darāte haiñ ban ke bhuut

    jab dekhtā huuñ un taraf kāñptā huuñ maiñ

    baiThā huā huuñ sub.h se larense-bāġh meñ

    larense-bāġh kaif o latāfat ke ḳhuld-zār

    vo mausam-e-nashāt vo ayyām-e-nau-bahār

    bhūle hue manāzir-e-rañgīñ bahār ke

    afkār ban ke ruuh meñ merī utar ga.e

    vo mast giit mausam-e-ishrat-fishār ke

    gahrā.iyoñ ko dil ġham ābād kar ga.e

    larense-bāġh kaif o latāfat ke ḳhuld-zār

    hai āsmāñ pe kaalī ghaTāoñ izhdihām

    hone lagī hai vaqt se pahle aaj shaam

    duniyā aañkh niiñd se jis vaqt jhuk ga.ī

    jab kā.enāt kho ga.ī asrār-e-ḳhvāb meñ

    siine meñ jū-e-ashk hai mere rukī huī

    kar use bahā.ūñgā kunj-e-gulāb meñ

    hai āsmāñ pe kaalī ghaTāoñ izhdihām

    afkār hujūm hai mere dimāġh meñ

    baiThā huā huuñ sub.h se larense-bāġh meñ

    baiTha hua hun subh se larense-bagh mein

    afkar ka hujum hai mere dimagh mein

    chhaya hua hai chaar taraf bagh mein sukut

    tanhaiyon ki god mein leTa hua hun main

    ashjar bar bar Daraate hain ban ke bhut

    jab dekhta hun un ki taraf kanpta hun main

    baiTha hua hun subh se larense-bagh mein

    larense-bagh kaif o latafat ke KHuld-zar

    wo mausam-e-nashat wo ayyam-e-nau-bahaar

    bhule hue manazir-e-rangin bahaar ke

    afkar ban ke ruh mein meri utar gae

    wo mast git mausam-e-ishrat-fishaar ke

    gahraiyon ko dil ki gham aabaad kar gae

    larense-bagh kaif o latafat ke KHuld-zar

    hai aasman pe kali ghaTaon ka izhdiham

    hone lagi hai waqt se pahle hi aaj sham

    duniya ki aankh nind se jis waqt jhuk gai

    jab kaenat kho gai asrar-e-KHwab mein

    sine mein ju-e-ashk hai mere ruki hui

    ja kar use bahaunga kunj-e-gulab mein

    hai aasman pe kali ghaTaon ka izhdiham

    afkar ka hujum hai mere dimagh mein

    baiTha hua hun subh se larense-bagh mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now