Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek kahani

Shaista Yusuf

ek kahani

Shaista Yusuf

MORE BYShaista Yusuf

    maiñ kahānī ke mahal meñ utartī ga.ī

    pariyāñ dev ġhulām saheliyāñ shahzāde

    titliyāñ bhañvre favvāre

    hasīn nazāre devtā mohabbat

    rākshas sharārat

    pata nahīñ chalā

    kab maañ āvāz Dūbtī chalī ga.ī

    kab mujhe niiñd lag ga.ī

    ab jāgne lagī huuñ

    to hairat meñ huuñ

    ki maiñ kahānī meñ huuñ

    kahānī mujh meñ

    main kahani ke mahal mein utarti gai

    pariyan dew ghulam saheliyan shahzade

    titliyan bhanwre fawware

    hasin nazare dewta ki mohabbat

    rakshas ki shararat

    pata hi nahin chala

    kab man ki aawaz Dubti chali gai

    kab mujhe nind lag gai

    ab jagne lagi hun

    to hairat mein hun

    ki main kahani mein hun

    ya kahani mujh mein

    Source:

    Sooni Parchhaiyan (Pg. 133)

    • Author: Shaista Yusuf
      • Publisher: Silver Line Printers, Hyderabad
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now