Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek laDki

Saleem-ur-Rahman

ek laDki

Saleem-ur-Rahman

MORE BYSaleem-ur-Rahman

    man chhoTī duniyā meñ āshāoñ ek melā hai

    us nas nas meñ ik aag karvaTeñ le rahī hai

    ḳhayāloñ meñ sapne sunahre base haiñ

    zarā koī us se par itnā to kah de

    ki ai shoḳh laḌkī

    tere bāloñ meñ gajre ḳhushbū baḌī mast mīThī hai

    tere hoñToñ pe amrit dhāreñ haiñ

    apnī āñkhoñ meñ kājal sajā.e hue kitnī sundar nazar aa rahī hai

    vo sun ke lahrā.egī simTegī

    aur phir havāoñ ke sargam pe matvāre naġhme sunā.egī

    jaise koī us ke dil ke kināroñ ko

    chupke se chhūne lagā hai

    man ki chhoTi si duniya mein aashaon ka ek mela sa hai

    us ki nas nas mein ek aag si karwaTen le rahi hai

    KHayalon mein sapne sunahre base hain

    zara koi us se par itna to kah de

    ki ai shoKH laDki

    tere baalon mein gajre ki KHushbu baDi mast miThi si hai

    tere honTon pe amrit ki dhaaren hain

    tu apni aankhon mein kajal sajae hue kitni sundar nazar aa rahi hai

    wo sun ke lahraegi simTegi

    aur phir hawaon ke sargam pe matware naghme sunaegi

    jaise koi us ke dil ke kinaron ko

    chupke se chhune laga hai

    Source:

    Manzar Jagta Sota Hua (Pg. 31)

    • Author: Saleem-ur-Rahman
      • Publisher: Multi Media Affairs, Lahore
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now