Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazm

Anees Nagi

ek nazm

Anees Nagi

MORE BYAnees Nagi

    maiñ

    hayāt-e-muhmal justujū meñ

    safar zamāne kar chukā huuñ

    maiñ ik juārī tarah saarī bisāt apnī luTā chukā huuñ

    maiñ aadmī ke aziim ḳhvāboñ saltanat bhī gañvā chukā huuñ

    na jeb raḳht-e-safar tohfa liye hue hai

    na zehn merā kisī tasavvur dukh uThāne

    kisī mohabbat bojh sahne ke vāste iḳhtilāl meñ hai

    maiñ fāteh tarah chalā thā

    jo rāste meñ mile mujhe

    vo teġh merī se kaT ga.e the

    maiñ zā.iroñ ke libās meñ

    qarz ḳhūñ-bahā utārne, sar muñDā ke yūñhī nikal gayā thā

    ki lauT ā.ūñgā

    ek din

    phir batā.ūñgā maiñ hayāt-e-muhmal raaz kyā hai?

    ye ḳhvāb hai ḳhayāl hai?

    maiñ hayāt-e-muhmal justujū meñ

    safar zamāne kar chukā huuñ

    maiñ be-navā be-giyāh aur be-samar shajar huuñ

    jo sau zamānoñ dhuul meñ be-basar bhikārī tarah

    apnī āstīñ meñ laraz rahā hai!

    main

    hayat-e-muhmal ki justuju mein

    safar zamane ka kar chuka hun

    main ek juari ki tarah sari bisat apni luTa chuka hun

    main aadmi ke azim KHwabon ki saltanat bhi ganwa chuka hun

    na jeb raKHt-e-safar ka tohfa liye hue hai

    na zehn mera kisi tasawwur ka dukh uThane

    kisi mohabbat ka bojh sahne ke waste iKHtilal mein hai

    main fateh ki tarah chala tha

    jo raste mein mile mujhe

    wo tegh meri se kaT gae the

    main zairon ke libas mein

    qarz KHun-baha ka utarne, sar munDa ke yunhi nikal gaya tha

    ki lauT aaunga

    ek din

    phir bataunga main hayat-e-muhmal ka raaz kya hai?

    ye KHwab hai ya KHayal hai?

    main hayat-e-muhmal ki justuju mein

    safar zamane ka kar chuka hun

    main be-nawa be-giyah aur be-samar shajar hun

    jo sau zamanon ki dhul mein be-basar bhikari ki tarah

    apni hi aastin mein laraz raha hai!

    Source:

    Saweera (magazine-56 (Pg. 50)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now