Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazm

Fazl Tabish

ek nazm

Fazl Tabish

MORE BYFazl Tabish

    āsmāñ sar par ugāne meñ mirā hissa nahīñ hai

    ye zamīñ bhī kal talak jis gaa.e ke sīñgoñ Tikī thī

    vo mirī koī nahīñ thī

    aur ab jis be-badan nañge ḳhalā meñ tairtī hai

    vo ḳhalā bhī maiñ nahīñ huuñ

    har taraf phailī huī be-rañg chehra zindagī ko

    maiñ bhalā kyā Dhāltā

    gosht jo lothḌā likkhā hai mere naam

    vo bhī aur Dhālā huā hai

    vo purāne din bhale the jab sabhī kuchh chal rahā thā

    naam is kaam us

    vo magar mere ujāle baḌe se ġhaar meñ ġhārat huā hai

    an-ginat ilzām kīloñ meñ Tañgā merā badan

    qatra qatra chīḳhtā hai

    aur sannāTā mazoñ meñ gungunātā phir rahā hai

    aasman sar par ugane mein mera hissa nahin hai

    ye zamin bhi kal talak jis gae ke singon Tiki thi

    wo meri koi nahin thi

    aur ab jis be-badan nange KHala mein tairti hai

    wo KHala bhi main nahin hun

    har taraf phaili hui be-rang chehra zindagi ko

    main bhala kya Dhaalta

    gosht ka jo lothDa likkha hai mere nam

    wo bhi aur ka Dhaala hua hai

    wo purane din bhale the jab sabhi kuchh chal raha tha

    nam is ka kaam us ka

    wo magar mere ujale baDe se ghaar mein ghaarat hua hai

    an-ginat ilzam kilon mein Tanga mera badan

    qatra qatra chiKHta hai

    aur sannaTa mazon mein gungunata phir raha hai

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-070) (Pg. ebook-34 page-32)

      • Edition: 1972
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now