Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazm

Mahmood Ayaz

ek nazm

Mahmood Ayaz

MORE BYMahmood Ayaz

    gum-shuda ḳhvāb shab-e-rafta ke raushan mahtāb

    aaj raat sar-e-bām utar aa.e haiñ

    gum-shuda chehre mire maazī ke zarrīñ aurāq

    ek ik kar ke sar-e-ām khule jaate haiñ

    mujh se kuchh kahtī haiñ ḳhāmosh nigāheñ un

    un āñkhoñ meñ abhī tak hai vafā tanvīr

    un ke māthe pe abhī tak hai vahī tābānī

    in ke pairoñ meñ nahīñ umr-e-ravāñ zanjīr

    un se duniyā ko badalne qasam khaa.ī thī

    un se ab aañkh milāte hue sharm aatī hai

    gum-shuda KHwab shab-e-rafta ke raushan mahtab

    aaj ki raat sar-e-baam utar aae hain

    gum-shuda chehre mere mazi ke zarrin auraq

    ek ek kar ke sar-e-am khule jate hain

    mujh se kuchh kahti hain KHamosh nigahen un ki

    un ki aankhon mein abhi tak hai wafa ki tanwir

    un ke mathe pe abhi tak hai wahi tabani

    in ke pairon mein nahin umr-e-rawan ki zanjir

    un se duniya ko badalne ki qasam khai thi

    un se ab aankh milate hue sharm aati hai

    Source:

    naqsh-e-bar aab (Pg. 51)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now