Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pauda aur ghas

Ismail Merathi

ek pauda aur ghas

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    ittifāqan ek paudā aur ghaas

    baaġh meñ donoñ khaḌe haiñ paas paas

    ghaas kahtī hai ki ai mere rafīq

    kyā anokhā is jahāñ hai tarīq

    hai hamārī aur tumhārī ek zaat

    ek qudarat se hai donoñ hayāt

    miTTī aur paanī havā aur raushnī

    vāste donoñ ke yaksāñ hai banī

    tujh pe lekin hai ināyat nazar

    pheñk dete haiñ mujhe jaḌ khod kar

    sar uThāne mujhe fursat nahīñ

    aur havā khāne bhī ruḳhsat nahīñ

    kaun detā hai mujhe yaañ phailne

    khā liyā ghoḌe gad.he bail ne

    tujh pe muñh Daale jo koī jānvar

    us jaatī hai DanDe se ḳhabar

    ole paale se bachāte haiñ tujhe

    kyā izzat se baḌhāte haiñ tujhe

    chāhte haiñ tujh ko sab karte haiñ pyaar

    kuchh patā us batā ai dost-dār

    us se paude ne kahā yuuñ sar hilā

    ghaas sab sachchā hai terā ye gila

    mujh meñ aur tujh meñ nahīñ kuchh bhī tamīz

    sirf saaya aur meva hai aziiz

    fā.eda ik roz mujh se pā.eñge

    saa.e meñ baiTheñge aur phal khā.eñge

    hai yahāñ izzat sahrā us ke sar

    jis se pahuñche naf.a sab ko besh-tar

    ittifaqan ek pauda aur ghas

    bagh mein donon khaDe hain pas pas

    ghas kahti hai ki ai mere rafiq

    kya anokha is jahan ka hai tariq

    hai hamari aur tumhaari ek zat

    ek qudarat se hai donon ki hayat

    miTTi aur pani hawa aur raushni

    waste donon ke yaksan hai bani

    tujh pe lekin hai inayat ki nazar

    phenk dete hain mujhe jaD khod kar

    sar uThane ki mujhe fursat nahin

    aur hawa khane ki bhi ruKHsat nahin

    kaun deta hai mujhe yan phailne

    kha liya ghoDe gadhe ya bail ne

    tujh pe munh Dale jo koi jaanwar

    us ki li jati hai DanDe se KHabar

    ole pale se bachate hain tujhe

    kya hi izzat se baDhate hain tujhe

    chahte hain tujh ko sab karte hain pyar

    kuchh pata us ka bata ai dost-dar

    us se paude ne kaha yun sar hila

    ghas sab sachcha hai tera ye gila

    mujh mein aur tujh mein nahin kuchh bhi tamiz

    sirf saya aur mewa hai aziz

    faeda ek roz mujh se paenge

    sae mein baiThenge aur phal khaenge

    hai yahan izzat ka sahra us ke sar

    jis se pahunche nafa sab ko besh-tar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now