Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pur-asrar sada

Balraj Komal

ek pur-asrar sada

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    us ke hañsne aur rone sadā

    ho ga.ī thī

    kuchh dinoñ se ek

    ab vo aksar din meñ sotā

    aur shab-bhar jāgtā

    ghūmtā thā shahr saḌkoñ pe tanhā sub.h tak

    ik sadā

    suunī fazāoñ meñ lagātā

    guuñj suntā

    phir lagātā

    chaltā jaatā

    be-takāñ

    log ab sote the rātoñ ko na shāyad jāgte

    ik ajab aalam thā

    sunte the jūñhī āvāz us duur se

    vo jo masrūf-e-fuġhāñ the sochte

    hai koī bad-baḳht un jaisā

    kisī TeḌhe safar meñ

    be-amāñ

    aur jo sarshār the mauj-e-ziyā raah meñ

    vo bhī zarf-e-sar-ḳhushī daad dete the use

    ek sannāTā hai ab har rah-guzar par chār-sū

    jāñ-ba-haq, kuchh roz guzre

    ho gayā vo shaḳhs

    ye afvāh hai

    kyā ajab aafat makīnoñ ke saroñ par aa paḌī

    apne ġham aur ḳhushī

    is sadā ke faiz se

    mil ga.ī thī un ko ik pahchān

    kyā huā ye hādsa kaise huā

    vo bhī āḳhir kho ga.ī

    us ke hansne aur rone ki sada

    ho gai thi

    kuchh dinon se ek si

    ab wo aksar din mein sota

    aur shab-bhar jagta

    ghumta tha shahr ki saDkon pe tanha subh tak

    ek sada

    suni fazaon mein lagata

    gunj sunta

    phir lagata

    chalta jata

    be-takan

    log ab sote the raaton ko na shayad jagte

    ek ajab aalam tha

    sunte the junhi aawaz us ki dur se

    wo jo masruf-e-fughan the sochte

    hai koi bad-baKHt un jaisa

    kisi TeDhe safar mein

    be-aman

    aur jo sarshaar the mauj-e-ziya ki rah mein

    wo bhi zarf-e-sar-KHushi ki dad dete the use

    ek sannaTa hai ab har rah-guzar par chaar-su

    jaan-ba-haq, kuchh roz guzre

    ho gaya wo shaKHs

    ye afwah hai

    kya ajab aafat makinon ke saron par aa paDi

    apne gham ki aur KHushi ki

    is sada ke faiz se

    mil gai thi un ko ek pahchan si

    kya hua ye hadsa kaise hua

    wo bhi aaKHir kho gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now