Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek riyazat ye bhi

Ambar Bahraichi

ek riyazat ye bhi

Ambar Bahraichi

MORE BYAmbar Bahraichi

    vahī dariyā kināre

    roz apnī baañs bansī liye baiThā huā vo shaḳhs

    kitnī be-niyāzī se

    har ik lamhe ko apnī ḳhush-dilī se daad detā hai

    ki jis ke rū-e-raushan par qanā.at morchhal jhaltī huī motī luTātī hai

    sahar-tā-shām lahroñ se vo apnī baat kahtā hai

    havāoñ madhur sargoshiyoñ par khilkhilātā hai

    parindoñ ke suhāne chahchahoñ par jhuum uThtā hai

    kisī āvāz aahaT pe kajrī gungunātā hai

    magar us nazar Dorī har jumbish pe rahtī hai

    koī machhlī phañsī to is ke siine meñ

    ka.ī rañgoñ sub.heñ daf.atan marpāsh hotī haiñ

    magar aisā bhī hotā hai

    kisī din haath ḳhālī apne ghar vo lauT jaatā hai

    ka.ī ma.asūm āñkheñ jab savālī ban ke uThtī haiñ

    vahī mānūs ik muskurāhaT is ke chehre

    kisī nannhī machhlī tarah ik jast letī hai

    shikasta jhoñpaḌe meñ ek bijlī kauñd jaatī hai

    wahi dariya kinare

    roz apni bans ki bansi liye baiTha hua wo shaKHs

    kitni be-niyazi se

    har ek lamhe ko apni KHush-dili se dad deta hai

    ki jis ke ru-e-raushan par qanaat morchhal jhalti hui moti luTati hai

    sahar-ta-sham lahron se wo apni baat kahta hai

    hawaon ki madhur sargoshiyon par khilkhilata hai

    parindon ke suhane chahchahon par jhum uThta hai

    kisi aawaz ki aahaT pe kajri gungunata hai

    magar us ki nazar Dori ki har jumbish pe rahti hai

    koi machhli phansi to is ke sine mein

    kai rangon ki subhen dafatan marpash hoti hain

    magar aisa bhi hota hai

    kisi din hath KHali apne ghar wo lauT jata hai

    kai masum aankhen jab sawali ban ke uThti hain

    wahi manus si ek muskurahaT is ke chehre ki

    kisi nannhi si machhli ki tarah ek jast leti hai

    shikasta jhonpaDe mein ek bijli kaund jati hai

    Source:

    doob (Pg. 99)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now