ek sal
'ishq kyā chiiz hai ulfat kī haqīqat kyā hai
tere hamrāh guzārā huā ik saal faqat
jo tire naam se mansūb kiyā thā maiñ ne
aaj us saal kī Thahrī huī ye āḳhirī shaam
apne biite hue lamhoñ kī kasak le aa.ī
merī āñkhoñ meñ ye nādīda chamak le aa.ī
vo mire arz-e-tamanna kī dil-āvez sadā
tū jise sun ke mire paas chalā aayā thā
dil bhī pahlū meñ mirī jaan uThā laayā thā
tū mirī ziist kā hāsil tū masīhā-e-vafā
tū mohabbat kā amiiñ 'ishq kā shā.ista gulāb
tū ne ulfat ke ka.ī baab sikhā.e jānāñ
merī āñkhoñ meñ hasīñ ḳhvāb sajā.e jānāñ
maiñ tire saath bitā.e hue lamhāt ke rang
apnī āñkhoñ meñ sajā.e hue baiThī huuñ abhī
chāñdnī raat ye bele kī mahaktī ḳhushbū
apne āñchal meñ basā.e hue baiThī huuñ abhī
terī qurbat kī hasīñ raat milī hai mujh ko
itne barsoñ meñ ye sauġhāt milī hai mujh ko
raat Dhal jaa.e na har roz kī sūrat aa jā
aaj mumkin nahīñ inkār kī sūrat aa jā
mirī āñkhoñ meñ mire ḳhvāb muqaffal kar de
aaj kī raat mirā 'ishq mukammal kar de
'ishq kya chiz hai ulfat ki haqiqat kya hai
tere hamrah guzara hua ek sal faqat
jo tere nam se mansub kiya tha main ne
aaj us sal ki Thahri hui ye aaKHiri sham
apne bite hue lamhon ki kasak le aai
meri aankhon mein ye nadida chamak le aai
wo mere arz-e-tamanna ki dil-awez sada
tu jise sun ke mere pas chala aaya tha
dil bhi pahlu mein meri jaan uTha laya tha
tu meri zist ka hasil tu masiha-e-wafa
tu mohabbat ka amin 'ishq ka shaista gulab
tu ne ulfat ke kai bab sikhae jaanan
meri aankhon mein hasin KHwab sajae jaanan
main tere sath bitae hue lamhat ke rang
apni aankhon mein sajae hue baiThi hun abhi
chandni raat ye bele ki mahakti KHushbu
apne aanchal mein basae hue baiThi hun abhi
teri qurbat ki hasin raat mili hai mujh ko
itne barson mein ye saughat mili hai mujh ko
raat Dhal jae na har roz ki surat aa ja
aaj mumkin nahin inkar ki surat aa ja
meri aankhon mein mere KHwab muqaffal kar de
aaj ki raat mera 'ishq mukammal kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.