Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek wajudi dost ke nam

Sarmad Sahbai

ek wajudi dost ke nam

Sarmad Sahbai

MORE BYSarmad Sahbai

    tum ne jitne bhī badle the apne aap se aur phir apne jaisoñ se

    ik ik kar ke puure dil se chukā bhī liye haiñ

    apne aap se guttham-gutthā hone meñ sab jañgoñ lazzat hai

    lazzat, jis shāyad kuchh bhī ḳharch nahīñ hai

    aur ye jañg ki jis meñ kuchh aisī nazmoñ māl-e-ġhanīmat mil jaatā hai

    jis par achchhī-ḳhāsī umr guzar jaatī hai

    lekin masnūī dardoñ se kuchh nahīñ hotā

    pyāre dost

    ḳhilqat terī napī-tulī bātoñ ke ūñche darvāzoñ meñ

    ramz bharī gambhīr aur gahrī āvāzoñ meñ

    ek na.e aadam ke janm ḳhātir

    terī nazmoñ aur aqīdoñ ke bistar ke tavāf meñ hai

    lekin tere sab jazboñ shiddat

    ik biyāh ke be-rañg lihāf meñ hai

    jo zard kitāboñ ke jaise par jaane kab se

    kaise kaise āsanoñ meñ

    jhūTī shahvat ke va.ade meñ leTā hai

    apne she.arī hizyānoñ ke ilhāmoñ meñ haklātā hai

    na.e janam ke bashārat ke is bāvle ġhash meñ

    go na.e ḳhvāboñ rānoñ meñ niglātā hai

    tum ne jitne bhi badle the apne aap se aur phir apne jaison se

    ek ek kar ke pure dil se chuka bhi liye hain

    apne aap se guttham-guttha hone mein hi sab jangon ki lazzat hai

    lazzat, jis ka shayad kuchh bhi KHarch nahin hai

    aur ye jang ki jis mein kuchh aisi nazmon ka mal-e-ghanimat mil jata hai

    jis par achchhi-KHasi umr guzar jati hai

    lekin masnui dardon se kuchh nahin hota

    pyare dost

    KHilqat teri napi-tuli baaton ke unche darwazon mein

    ramz bhari gambhir aur gahri aawazon mein

    ek nae aadam ke janm ki KHatir

    teri nazmon aur aqidon ke bistar ke tawaf mein hai

    lekin tere sab jazbon ki shiddat

    ek biyah ke be-rang lihaf mein hai

    tu jo zard kitabon ke jaise par jaane kab se

    kaise kaise aasanon mein

    jhuTi shahwat ke wade mein leTa hai

    apne sheari hizyanon ke ilhamon mein haklata hai

    nae janam ke bashaarat ke is bawle ghash mein

    go nae KHwabon ki ranon mein niglata hai

    Source:

    siip-volume-35 (Pg. 144)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now