Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek viran ganw mein

Zahid Dar

ek viran ganw mein

Zahid Dar

MORE BYZahid Dar

    inhī sūkhe hue maidānoñ meñ

    ab jahāñ dhuup lahroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ

    sabz lahrāte hue khet huā karte the

    log ābād the peḌoñ ghanī chhāñv meñ

    mahfileñ jamtī thiiñ afsāne sune jaate the

    aaj vīrān makānoñ meñ havā chīḳhtī hai

    dhuul meñ uḌte kitāboñ ke varaq

    kis yādoñ ke varaq kis ke ḳhayāloñ ke varaq

    mujh se kahte haiñ ki rah jaao yahīñ

    aur maiñ sochtā huuñ sirf añdherā hai yahāñ

    phir havā aatī hai dīvānī havā

    aur kahtī hai: nahīñ sirf añdherā to nahīñ

    yaad haiñ mujh ko vo lamhe jin meñ

    log āzād the aur zinda the

    aao maiñ tum ko dikhā.ūñ vo maqām.....

    ek vīrān jagah īñToñ ambār nahīñ kuchh bhī nahīñ

    aur vo kahtī hai ye pyaar markaz thā kabhī

    kis yaad aa.e mujhe kis batāo kis kii!

    aur ab chup hai havā chup hai zamīñ

    bol ai vaqt! kahāñ haiñ vo log

    jin ko vo yaad haiñ jin yādeñ

    in havāoñ meñ pareshān haiñ aaj

    inhi sukhe hue maidanon mein

    ab jahan dhup ki lahron ke siwa kuchh bhi nahin

    sabz lahraate hue khet hua karte the

    log aabaad the peDon ki ghani chhanw mein

    mahfilen jamti thin afsane sune jate the

    aaj viran makanon mein hawa chiKHti hai

    dhul mein uDte kitabon ke waraq

    kis ki yaadon ke waraq kis ke KHayalon ke waraq

    mujh se kahte hain ki rah jao yahin

    aur main sochta hun sirf andhera hai yahan

    phir hawa aati hai diwani hawa

    aur kahti hai: nahin sirf andhera to nahin

    yaad hain mujh ko wo lamhe jin mein

    log aazad the aur zinda the

    aao main tum ko dikhaun wo maqam

    ek viran jagah inTon ka ambar nahin kuchh bhi nahin

    aur wo kahti hai ye pyar ka markaz tha kabhi

    kis ki yaad aae mujhe kis ki batao kis ki!

    aur ab chup hai hawa chup hai zamin

    bol ai waqt! kahan hain wo log

    jin ko wo yaad hain jin ki yaaden

    in hawaon mein pareshan hain aaj

    Source:

    tanhaa.ii (Pg. 187)

    • Author: zaahid daar
      • Edition: 1988
      • Publisher: sang-e-miil publication
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now