Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

elan nama

Iftikhar Arif

elan nama

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    maiñ laakh buzdil sahī magar maiñ usī qabīle aadmī huuñ ki jis ke beToñ ne

    jo kahā us pe jaan de

    maiñ jāntā thā mire qabīle ḳhema-gāheñ jalā.ī jā.eñgī aur tamāshā.ī

    raqs-e-sho.ala-fishāñ par isrār kareñge

    maiñ jāntā thā mirā qabīla burīda aur be-ridā saroñ gavāhiyāñ

    le ke aa.egā phir bhī log inkār kareñge

    so maiñ kamīñ-gāh-e-āfiyat meñ chalā gayā thā

    so maiñ amāñ-gāh-e-maslahat meñ chalā gayā thā

    aur ab mujhe mere shahsavāroñ ḳhuun āvāz de rahā hai

    to nazr-e-sar le ke aa gayā huuñ

    tabāh hone ko ek ghar le ke aa gayā huuñ

    maiñ laakh buzdil sahī magar maiñ usī qabīle aadmī huuñ!

    main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun ki jis ke beTon ne

    jo kaha us pe jaan de di

    main jaanta tha mere qabile ki KHema-gahen jalai jaengi aur tamashai

    raqs-e-shoala-fishan par israr hi karenge

    main jaanta tha mera qabila burida aur be-rida saron ki gawahiyan

    le ke aaega phir bhi log inkar hi karenge

    so main kamin-gah-e-afiyat mein chala gaya tha

    so main aman-gah-e-maslahat mein chala gaya tha

    aur ab mujhe mere shahsawaron ka KHun aawaz de raha hai

    to nazr-e-sar le ke aa gaya hun

    tabah hone ko ek ghar le ke aa gaya hun

    main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun!

    Source:

    Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 507)

    • Author: Iftikhar Arif
      • Edition: 2012
      • Publisher: Pakistan Publishing House
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now