Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

emergency se pahle emergency ke baad

Dr. Rahi

emergency se pahle emergency ke baad

Dr. Rahi

MORE BYDr. Rahi

    kal thī hamāre vāste tārīkiyoñ shab

    ġhārat-garī thī luuT thī vahshat daur thā

    pas-māñdagān-e-vaqt aahoñ shor thā

    āsūdgī ke naam pe dhoke hue the kal

    insāniyat ke naam pe insāñ kaal thā

    har koī fikrmand pareshān-hāl thā

    ahl-e-vatan malūl bhī aise malūl the

    chehre the ashk ashk magar ḳhushk phuul the

    jiinā ġharīb ke liye dushvār kaam thā

    jiine istilāh meñ jiinā harām thā

    siine meñ un ke saañs bahut tang tang thī

    jaise ḳhud apne aap se ik jang jang thī

    aise meñ shāntī nayā daur aa gayā sūraj huā falak pe nayā aas tulūa

    tārīkiyāñ jo shab thiiñ din meñ badal ga.iiñ

    jitnī thiiñ āfateñ vo tadabbur se Tal ga.iiñ

    jiinā har ik ke vāste āsān ho gayā

    vīrāna-e-hayāt

    gulistān ho gayā

    bint-e-gulāb paikar-e-amn-o-amāñ hai aaj

    jannat-nishān vāqa.ī hindostāñ hai aaj

    kal thi hamare waste tarikiyon ki shab

    ghaarat-gari thi luT thi wahshat ka daur tha

    pas-mandagan-e-waqt ki aahon ka shor tha

    aasudgi ke nam pe dhoke hue the kal

    insaniyat ke nam pe insan ka kal tha

    har koi fikrmand pareshan-haal tha

    ahl-e-watan malul bhi aise malul the

    chehre the ashk ashk magar KHushk phul the

    jina gharib ke liye dushwar kaam tha

    jine ki istilah mein jina haram tha

    sine mein un ke sans bahut tang tang thi

    jaise KHud apne aap se ek jang jang thi

    aise mein shanti ka naya daur aa gaya suraj hua falak pe naya aas ka tulua

    tarikiyan jo shab ki thin din mein badal gain

    jitni thin aafaten wo tadabbur se Tal gain

    jina har ek ke waste aasan ho gaya

    virana-e-hayat

    gulistan ho gaya

    bint-e-gulab paikar-e-amn-o-aman hai aaj

    jannat-nishan waqai hindostan hai aaj

    Source:

    Mahek (Pg. 140)

    • Author: Dr. Rahi
      • Publisher: Dairah Press Chatta Bazar
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now