Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faqa-masti aur zawal-e-sharafat

Sareer Kabiri

faqa-masti aur zawal-e-sharafat

Sareer Kabiri

MORE BYSareer Kabiri

    qaht us par qatl-o-ġhārat ye aalam haa.e haa.e

    har taraf hai nāla-o-fariyād-o-mātam haa.e haa.e

    ik taraf kapḌe mātam ik taraf ġhalle maar

    ab to hai is zindagī se naak meñ dam haa.e haa.e

    jin ke dastarḳhvān par hotī thiiñ sad.hā ne.amateñ

    un ko miltī hai ġhizā-e-ranj paiham haa.e haa.e

    shabnam-o-kamḳhāb jo taab sakte na the

    un ko khaddar bhī nahīñ hotā farāham haa.e haa.e

    aaj hai likkhe-paḌhoñ ke ghar meñ faaqa aa.e din

    har-kasāñ is vaqt hai fir.aun-e-āzam haa.e haa.e

    miT rahā hai fāqa-mastī se sharāfat nishāñ

    bachcha bachcha mulk hai paikar-e-ġham haa.e haa.e

    kāġhazī sikkoñ ne chhīnā ashrafiyyoñ faroġh

    hai rizālat meñ sharāfat aaj mudġham haa.e haa.e

    vā.e-nākāmī vo nāsūr-e-jigar sābit huā

    jānte the jis ko zaḳhm-e-dil marham haa.e haa.e

    fāqa-mastān-e-vatan is raaz se vāqif na the

    īd-e-āzādī manā.egī moharram haa.e haa.e

    jab umīdeñ uTh ga.iiñ saarā gila jaatā rahā

    zindagī se zindagī hausla jaatā rahā

    qaht us par qatl-o-ghaarat ka ye aalam hae hae

    har taraf hai nala-o-fariyaad-o-matam hae hae

    ek taraf kapDe ka matam ek taraf ghalle ki mar

    ab to hai is zindagi se nak mein dam hae hae

    jin ke dastarKHwan par hoti thin sadha neamaten

    un ko milti hai ghiza-e-ranj paiham hae hae

    shabnam-o-kamKHab ki jo tab la sakte na the

    un ko khaddar bhi nahin hota faraham hae hae

    aaj hai likkhe-paDhon ke ghar mein faqa aae din

    har-kasan is waqt hai firaun-e-azam hae hae

    miT raha hai faqa-masti se sharafat ka nishan

    bachcha bachcha mulk ka hai paikar-e-gham hae hae

    kaghazi sikkon ne chhina ashrafiyyon ka farogh

    hai rizalat mein sharafat aaj mudgham hae hae

    wae-nakaami wo nasur-e-jigar sabit hua

    jaante the jis ko zaKHm-e-dil ka marham hae hae

    faqa-mastan-e-watan is raaz se waqif na the

    id-e-azadi manaegi moharram hae hae

    jab umiden uTh gain sara gila jata raha

    zindagi se zindagi ka hausla jata raha

    Source:

    Do Aatisha (Pg. 65)

    • Author: Sareer Kabiri
      • Publisher: Sayyad Mohammad Daood Akhtar Kabari
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now