Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faslon ki baat

Ejaaz Ahamd

faslon ki baat

Ejaaz Ahamd

MORE BYEjaaz Ahamd

    tum ne fāsloñ baat samajh to tumheñ yaad aa.egā

    ki fanā ham sab taqdīr hai

    tumheñ ma.alūm hai? tumhāre

    ghar sīḌhiyāñ chaḌhte hue maiñ ne hazār baar

    chup-chāp

    ziine safed dīvāroñ pe uñgliyāñ pherī haiñ

    is ummīd meñ ki shāyad lams ke

    aise zā.iqe vahāñ rah jaa.eñ jo tum hamesha

    badan ke gunjalak aur be-lafz

    zā.iqoñ tarah pahchān sako

    aur yaad rakho

    ab samajh meñ aane lagā hai

    ki koī nazm kabhī ishq aur dard asl zarūriyāt

    puurī nahīñ kartī

    ki ishq maut ke ḳhilāf hathiyār nahīñ

    ki hamāre lafz hamāre maqāsid se nā-āshnā haiñ

    ki mujhe chāhat us shaḳhs hai jo tum ho

    ki maiñ mukammal taur pe tumheñ

    kabhī na jaan pā.ūñgā

    aur tum ne ye tamām muddat

    ḳhud apne mafhūm talāsh meñ sulagte pighalte

    guzārī hai

    tum ne faslon ki baat samajh li to tumhein yaad aaega

    ki fana hum sab ki taqdir hai

    tumhein malum hai? tumhaare

    ghar ki siDhiyan chaDhte hue main ne hazar bar

    chup-chap

    zine ki safed diwaron pe ungliyan pheri hain

    is ummid mein ki shayad lams ke

    aise zaiqe wahan rah jaen jo tum hamesha

    badan ke gunjalak aur be-lafz

    zaiqon ki tarah pahchan sako

    aur yaad rakho

    ab samajh mein aane laga hai

    ki koi nazm kabhi ishq aur dard ki asl zaruriyat

    puri nahin karti

    ki ishq maut ke KHilaf hathiyar nahin

    ki hamare lafz hamare maqasid se na-ashna hain

    ki mujhe chahat us shaKHs ki hai jo tum ho

    ki main mukammal taur pe tumhein

    kabhi na jaan paunga

    aur tum ne ye tamam muddat

    KHud apne mafhum ki talash mein sulagte pighalte

    guzari hai

    Source:

    saugaat-2-3 (Pg. 122)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now