Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faiz-ahmad-faiz ke nam

Masood Maikash Muradabadi

faiz-ahmad-faiz ke nam

Masood Maikash Muradabadi

MORE BYMasood Maikash Muradabadi

    gul-e-sahar na gesū-e-shām ḳhushbū

    fazā fazā meñ hai tere kalām ḳhushbū

    chaman se kunj-e-qafas tak qafas se daar talak

    kahāñ kahāñ na ga.ī tere naam ḳhushbū

    matā.a-e-dast-e-sabā ho ki naqsh-e-faryādī

    har ek zaḳhm meñ dard-e-avām ḳhushbū

    khanak ga.ī hai jahāñ tere paañv zanjīr

    bikhar ga.ī hai vahāñ ehtirām ḳhushbū

    dil-o-dimāġh ko sarshār kar ga.ī 'maikash'

    ġhazal ke phuul se niklī vo jaam ḳhushbū

    gul-e-sahar ki na gesu-e-sham ki KHushbu

    faza faza mein hai tere kalam ki KHushbu

    chaman se kunj-e-qafas tak qafas se dar talak

    kahan kahan na gai tere nam ki KHushbu

    mataa-e-dast-e-saba ho ki naqsh-e-faryaadi

    har ek zaKHm mein dard-e-awam ki KHushbu

    khanak gai hai jahan tere panw ki zanjir

    bikhar gai hai wahan ehtiram ki KHushbu

    dil-o-dimagh ko sarshaar kar gai 'maikash'

    ghazal ke phul se nikli wo jam ki KHushbu

    Source :
    • Book : KHuli kitab (Pg. 96)
    • Author : Masuud maikash muradabadi
    • Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
    • Edition : 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now