Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faqat chand lamhe

Nida Fazli

faqat chand lamhe

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    bahut der hai

    bas ke aane meñ

    aao

    kahīñ paas lawn par baiTh jaa.eñ

    chaTaḳhtā hai merī bhī rag rag meñ sūraj

    bahut der se tum bhī chup chup khaḌī ho

    na maiñ tum se vāqif

    na tum mujh se vāqif

    na.ī saarī bāteñ na.e saare qisse

    chamakte hue lafz chamakte lahje

    faqat chand ghaḌiyāñ

    faqat chand lamhe

    na maiñ apne dukh-dard baat chheḌūñ

    na tum apne ghar kahānī sunāo

    maiñ mausam banūñ

    tum fazā.eñ jagāo

    bahut der hai

    bas ke aane mein

    aao

    kahin pas ki lawn par baiTh jaen

    chaTaKHta hai meri bhi rag rag mein suraj

    bahut der se tum bhi chup chup khaDi ho

    na main tum se waqif

    na tum mujh se waqif

    nai sari baaten nae sare qisse

    chamakte hue lafz chamakte lahje

    faqat chand ghaDiyan

    faqat chand lamhe

    na main apne dukh-dard ki baat chheDun

    na tum apne ghar ki kahani sunao

    main mausam banun

    tum fazaen jagao

    Source:

    Shaher Men Gaon (Pg. 203)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now