Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farar

MORE BYSahir Ludhianvi

    apne maazī ke tasavvur se hirāsāñ huuñ maiñ

    apne guzre hue ayyām se nafrat hai mujhe

    apnī be-kār tamannāoñ pe sharminda huuñ

    apnī be-sūd umīdoñ pe nadāmat hai mujhe

    mere maazī ko andhere meñ dabā rahne do

    merā maazī mirī zillat ke sivā kuchh bhī nahīñ

    merī ummīdoñ hāsil mirī kāvish sila

    ek be-nām aziyyat ke sivā kuchh bhī nahīñ

    kitnī be-kār umīdoñ sahārā le kar

    maiñ ne aivān sajā.e the kisī ḳhātir

    kitnī be-rabt tamannāoñ ke mub.ham ḳhāke

    apne ḳhvāboñ meñ basā.e the kisī ḳhātir

    mujh se ab merī mohabbat ke fasāne na kaho

    mujh ko kahne do ki maiñ ne unheñ chāhā nahīñ

    aur vo mast nigāheñ jo mujhe bhuul ga.iiñ

    maiñ ne un mast nigāhoñ ko sarāhā nahīñ

    mujh ko kahne do ki maiñ aaj bhī saktā huuñ

    ishq nākām sahī zindagī nākām nahīñ

    in ko apnāne ḳhvāhish unheñ paane talab

    shauq-e-bekār sahī sa.ī-e-ġham-e-anjām nahīñ

    vahī gesū vahī nazreñ vahī aariz vahī jism

    maiñ jo chāhūñ to mujhe aur bhī mil sakte haiñ

    vo kañval jin ko kabhī un ke liye khilnā thā

    un nazroñ se bahut duur bhī khil sakte haiñ

    apne mazi ke tasawwur se hirasan hun main

    apne guzre hue ayyam se nafrat hai mujhe

    apni be-kar tamannaon pe sharminda hun

    apni be-sud umidon pe nadamat hai mujhe

    mere mazi ko andhere mein daba rahne do

    mera mazi meri zillat ke siwa kuchh bhi nahin

    meri ummidon ka hasil meri kawish ka sila

    ek be-nam aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin

    kitni be-kar umidon ka sahaara le kar

    main ne aiwan sajae the kisi ki KHatir

    kitni be-rabt tamannaon ke mubham KHake

    apne KHwabon mein basae the kisi ki KHatir

    mujh se ab meri mohabbat ke fasane na kaho

    mujh ko kahne do ki main ne unhen chaha hi nahin

    aur wo mast nigahen jo mujhe bhul gain

    main ne un mast nigahon ko saraha hi nahin

    mujh ko kahne do ki main aaj bhi ji sakta hun

    ishq nakaam sahi zindagi nakaam nahin

    in ko apnane ki KHwahish unhen pane ki talab

    shauq-e-bekar sahi sai-e-gham-e-anjam nahin

    wahi gesu wahi nazren wahi aariz wahi jism

    main jo chahun to mujhe aur bhi mil sakte hain

    wo kanwal jin ko kabhi un ke liye khilna tha

    un ki nazron se bahut dur bhi khil sakte hain

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir (Pg. 88)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now