Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fareb

MORE BYAli Sardar Jafri

    Interesting Fact

    15/August aur us ke baad

    (1)

    nā-gahāñ shor huā

    lo shab-e-tār-e-ġhulāmī sahar aa pahuñchī

    uñgliyāñ jaag uThīñ

    barbat o tā.ūs ne añgḌā.ī

    aur mutrib hathelī se shuā.eñ phūTīñ

    khil ga.e saaz meñ naġhmoñ ke mahakte hue phuul

    log chillā.e ki fariyād ke din biit ga.e

    rāhzan haar ga.e

    rāh-rau jiit ga.e

    qāfile duur the manzil se bahut duur magar

    ḳhud-farebī ghanī chhāñv meñ dam lene lage

    chun liyā raah ke rezoñ ko ḳhazaf-rezoñ ko

    aur samajh baiThe ki bas la.al-o-javāhar haiñ yahī

    rāhzan hañsne lage chhup ke kamīñ-gāhoñ meñ

    ham-nashīñ ye thā farañgī firāsat tilism

    rahbar-e-qaum nākāra qayādat fareb

    ham ne āzurdagī-e-shauq ko manzil jaanā

    apnī gard-e-sar-e-rāh ko mahmil jaanā

    gardish-e-halqa-e-gardāb ko sāhil jaanā

    ab jidhar dekho udhar maut mañDlātī hai

    dar-o-dīvār se rone sadā aatī hai

    ḳhvāb zaḳhmī haiñ umañgoñ ke kaleje chhalnī

    mere dāman meñ haiñ zaḳhmoñ ke dahakte hue phuul

    ḳhuun meñ luThḌe hue phuul

    maiñ jinheñ kūcha-o-bāzār se chun laayā huuñ

    qaum ke rāhbaro rāhzanoñ

    apne aivān-e-hukūmat meñ sajā lo in ko

    apne guldān-e-siyāsat meñ lagā lo in ko

    apnī sad-sāla tamannāoñ hāsil hai yahī

    mauj-e-pāyāb sāhil hai yahī

    tum ne firdaus ke badle meñ jahannam le kar

    kah diyā ham se gulistāñ meñ bahār aa.ī hai

    chand sikkoñ ke evaz chand miloñ ḳhātir

    tum ne nāmūs-e-shahīdān-e-vatan bech diyā

    bāġhbāñ ban ke uThe aur chaman biich diyā

    (2)

    kaun āzād huaa?

    kis ke māthe se siyāhī chhūTī

    mere siine meñ abhī dard hai mahkūmī

    mother-e-hind ke chehre pe udāsī hai vahī

    ḳhanjar āzād haiñ sīnoñ meñ utarne ke liye

    maut āzād hai lāshoñ pe guzarne ke liye

    chor-bāzāroñ meñ bad-shakl chuḌailoñ tarah

    qīmateñ kaalī dukānoñ pe khaḌī rahtī haiñ

    har ḳharīdār jeboñ ko katarne ke liye

    kār-ḳhānoñ pe lagā rahtā hai

    saañs letī huī lāshoñ hujūm

    biich meñ un ke phirā kartī hai bekārī bhī

    apnā ḳhuñḳhār dahan khole hue

    aur sone ke chamakte sikke

    Dañk uThā.e hue phan phailā.e

    ruuh aur dil pe chalā karte haiñ

    mulk aur qaum ko din raat Dasā karte haiñ

    roTiyāñ chakloñ qahbā.eñ haiñ

    jin ko sarmāya ke dallāloñ ne

    naf.a-ḳhorī ke jharokoñ meñ sajā rakhā hai

    bāliyāñ dhaan gehūñ ke sunahre ḳhoshe

    misr o yūnān ke majbūr ġhulāmoñ tarah

    ajnabī des ke bāzāroñ meñ bik jaate haiñ

    aur bad-baḳht kisānoñ bilaktī huī ruuh

    apne aflās meñ muñh Dhāñp ke so jaatī hai

    ham kahāñ jaa.eñ kaheñ kis se ki nādār haiñ ham

    kis ko samjhā.eñ ġhulāmī ke gunahgār haiñ ham

    tauq ḳhud ham ne pahnā rakkhā hai armānoñ ko

    apne siine meñ jakaḌ rakkhā tūfānoñ ko

    ab bhī zindān-e-ġhulāmī se nikal sakte haiñ

    apnī taqdīr ko ham aap badal sakte haiñ

    (3)

    aaj phir hotī haiñ zaḳhmoñ se zabāneñ paidā

    tīra-o-tār fazāoñ se barsātā hai lahū

    raah gard ke nīche se ubharte haiñ qadam

    taare ākāsh pe kamzor habāboñ tarah

    shab ke sailāb-e-siyāhī meñ bahe jaate haiñ

    phūTne vaalī hai mazdūr ke māthe se kiran

    surḳh parcham ufuq-e-sub.h pe lahrāte haiñ

    (1)

    na-gahan shor hua

    lo shab-e-tar-e-ghulami ki sahar aa pahunchi

    ungliyan jag uThin

    barbat o taus ne angDai li

    aur mutrib ki hatheli se shuaen phuTin

    khil gae saz mein naghmon ke mahakte hue phul

    log chillae ki fariyaad ke din bit gae

    rahzan haar gae

    rah-rau jit gae

    qafile dur the manzil se bahut dur magar

    KHud-farebi ki ghani chhanw mein dam lene lage

    chun liya rah ke rezon ko KHazaf-rezon ko

    aur samajh baiThe ki bas lal-o-jawahar hain yahi

    rahzan hansne lage chhup ke kamin-gahon mein

    ham-nashin ye tha farangi ki firasat ka tilism

    rahbar-e-qaum ki nakara qayaadat ka fareb

    hum ne aazurdagi-e-shauq ko manzil jaana

    apni hi gard-e-sar-e-rah ko mahmil jaana

    gardish-e-halqa-e-gardab ko sahil jaana

    ab jidhar dekho udhar maut hi manDlati hai

    dar-o-diwar se rone ki sada aati hai

    KHwab zaKHmi hain umangon ke kaleje chhalni

    mere daman mein hain zaKHmon ke dahakte hue phul

    KHun mein luThDe hue phul

    main jinhen kucha-o-bazar se chun laya hun

    qaum ke rahbaro rahzanon

    apne aiwan-e-hukumat mein saja lo in ko

    apne guldan-e-siyasat mein laga lo in ko

    apni sad-sala tamannaon ka hasil hai yahi

    mauj-e-payab ka sahil hai yahi

    tum ne firdaus ke badle mein jahannam le kar

    kah diya hum se gulistan mein bahaar aai hai

    chand sikkon ke ewaz chand milon ki KHatir

    tum ne namus-e-shahidan-e-watan bech diya

    baghban ban ke uThe aur chaman bich diya

    (2)

    kaun aazad hua?

    kis ke mathe se siyahi chhuTi

    mere sine mein abhi dard hai mahkumi ka

    mother-e-hind ke chehre pe udasi hai wahi

    KHanjar aazad hain sinon mein utarne ke liye

    maut aazad hai lashon pe guzarne ke liye

    chor-bazaron mein bad-shakl chuDailon ki tarah

    qimaten kali dukanon pe khaDi rahti hain

    har KHaridar ki jebon ko katarne ke liye

    kar-KHanon pe laga rahta hai

    sans leti hui lashon ka hujum

    bich mein un ke phira karti hai bekari bhi

    apna KHunKHar dahan khole hue

    aur sone ke chamakte sikke

    Dank uThae hue phan phailae

    ruh aur dil pe chala karte hain

    mulk aur qaum ko din raat Dasa karte hain

    roTiyan chaklon ki qahbaen hain

    jin ko sarmaya ke dallalon ne

    nafa-KHori ke jharokon mein saja rakha hai

    baaliyan dhan ki gehun ke sunahre KHoshe

    misr o yunan ke majbur ghulamon ki tarah

    ajnabi des ke bazaron mein bik jate hain

    aur bad-baKHt kisanon ki bilakti hui ruh

    apne aflas mein munh Dhanp ke so jati hai

    hum kahan jaen kahen kis se ki nadar hain hum

    kis ko samjhaen ghulami ke gunahgar hain hum

    tauq KHud hum ne pahna rakkha hai armanon ko

    apne sine mein jakaD rakkha tufanon ko

    ab bhi zindan-e-ghulami se nikal sakte hain

    apni taqdir ko hum aap badal sakte hain

    (3)

    aaj phir hoti hain zaKHmon se zabanen paida

    tira-o-tar fazaon se barsata hai lahu

    rah ki gard ke niche se ubharte hain qadam

    tare aakash pe kamzor hababon ki tarah

    shab ke sailab-e-siyahi mein bahe jate hain

    phuTne wali hai mazdur ke mathe se kiran

    surKH parcham ufuq-e-subh pe lahraate hain

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 177)

    • Author: shamim hanfi and mazhar mahdi
      • Edition: 2005
      • Publisher: qaumi council bara-e-farogh urdu
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now