Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fareb aur fareb ke darmiyan

Mohammad Shamimuzzaman

fareb aur fareb ke darmiyan

Mohammad Shamimuzzaman

MORE BYMohammad Shamimuzzaman

    mutriba saaz uThā shor-e-shakebā.ī kar

    aa ki har sā'at-e-kamyāb ġhanīmat jāneñ

    mutriba saaz uThā mujh ko magar nai de de

    mere ehsās ko nāzuk koī shai de de

    terī ḳhud.dār tabī'at taqāzā hai yahī

    aaj raat ye mā'lūm huā

    merā maazī mire auhām se zyāda to nahīñ

    mujh ko ye vahm thā har shai ko mirī hājat hai

    mujh ko ye vahm thā har shai se mujhe ulfat hai

    mujh ko ye vahm thā maiñ ‘ālam-e-maujūd mustaqbil huuñ

    is ke bar-'aks

    tab'-e-insān se bargashta huuñ

    apnī zid aap haiñ auhām mire maz.hab ke

    maiñ bhī majmū'a-e-azdād banā baiThā huuñ

    mujh ko ye vahm hai har chiiz yahāñ faanī hai

    mujh ko ye vahm hai maiñ ḳhud bhī fasāna huuñ yahāñ

    mujh ko ye vahm hai har ḳhvāb mirā jhūTā hai

    mujh ko ye vahm hai maiñ nuqta-e-mub.ham huuñ

    magar

    mutriba mire auhām meñ shāmil bhī nahīñ

    mire vahm hāsil bhī nahīñ

    mutriba saaz uThā shor-e-shakebā.ī kar

    aur ik baar ye hangāma-e-rusvā.ī kar

    aur phir jab ki mashiyyat taqāza hai yahī

    zard chehroñ ke ye mahtāb ġhanīmat jāneñ

    mutriba saz uTha shor-e-shakebai kar

    aa ki har sa'at-e-kamyab ghanimat jaanen

    mutriba saz uTha mujh ko magar nai de de

    mere ehsas ko nazuk si koi shai de de

    teri KHuddar tabi'at ka taqaza hai yahi

    aaj ki raat ye ma'lum hua

    mera mazi mere auham se zyaada to nahin

    mujh ko ye wahm tha har shai ko meri hajat hai

    mujh ko ye wahm tha har shai se mujhe ulfat hai

    mujh ko ye wahm tha main ‘alam-e-maujud ka mustaqbil hun

    is ke bar-'aks

    tab'-e-insan se bargashta hun

    apni zid aap hain auham mere mazhab ke

    main bhi majmu'a-e-azdad bana baiTha hun

    mujh ko ye wahm hai har chiz yahan fani hai

    mujh ko ye wahm hai main KHud bhi fasana hun yahan

    mujh ko ye wahm hai har KHwab mera jhuTa hai

    mujh ko ye wahm hai main nuqta-e-mubham hun

    magar

    mutriba tu mere auham mein shamil bhi nahin

    tu mere wahm ka hasil bhi nahin

    mutriba saz uTha shor-e-shakebai kar

    aur ek bar ye hangama-e-ruswai kar

    aur phir jab ki mashiyyat ka taqaza hai yahi

    zard chehron ke ye mahtab ghanimat jaanen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now