aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farogh farruKH-zad ke liye ek nazm

Parveen Shakir

farogh farruKH-zad ke liye ek nazm

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    Interesting Fact

    Dedicated to the controversial Persian poet and film director Farogh Farrukh-zad, who died in a fatal car crash.

    musāhib-e-shāh se kaho ki

    faqīh-e-āzam bhī aaj tasdīq kar ga.e haiñ

    ki fasl phir se gunāhgāroñ pak ga.ī hai

    huzūr jumbish-e-nazar ke

    tamām jallād muntazir haiñ

    ki kaun had janāb jaarī kareñ

    to tāmīl-e-bandagī ho

    kahāñ pe sar aur kahāñ pe dastār utārnā ahsan-ul-amal hai

    kahāñ pe hāthoñ kahāñ zabānoñ ko qat.a kījiye

    kahāñ pe darvāza rizq band karnā hogā

    kahāñ pe āsā.ishoñ bhūkoñ ko maar diije

    kahāñ baTegī luaan chhūT

    aur kahāñ par

    rajm ke ahkām jaarī hoñge

    kahāñ pe nau saala bachchiyāñ chahal saala mardoñ ke saath

    sañgīn meñ pirone hukm hogā

    kahāñ pe iqbālī mulzimoñ ko

    kisī tarah shak fā.eda ho

    kahāñ pe māsūm daar par khīñchnā paḌegā

    huzūr ahkām jo bhī jaarī kareñge

    faqat iltijā ye hogī

    ki apne irshād-e-āliya ko

    zabānī rakheñ

    vagarna

    qānūnī uljhaneñ haiñ!

    musahib-e-shah se kaho ki

    faqih-e-azam bhi aaj tasdiq kar gae hain

    ki fasl phir se gunahgaron ki pak gai hai

    huzur ki jumbish-e-nazar ke

    tamam jallad muntazir hain

    ki kaun si had janab jari karen

    to tamil-e-bandagi ho

    kahan pe sar aur kahan pe dastar utarna ahsan-ul-amal hai

    kahan pe hathon kahan zabanon ko qata kijiye

    kahan pe darwaza rizq ka band karna hoga

    kahan pe aasaishon ki bhukon ko mar dije

    kahan baTegi luan ki chhuT

    aur kahan par

    rajm ke ahkaam jari honge

    kahan pe nau sala bachchiyan chahal sala mardon ke sath

    sangin mein pirone ka hukm hoga

    kahan pe iqbaali mulzimon ko

    kisi tarah shak ka faeda ho

    kahan pe masum dar par khinchna paDega

    huzur ahkaam jo bhi jari karenge

    faqat iltija ye hogi

    ki apne irshad-e-aliya ko

    zabani rakhen

    wagarna

    qanuni uljhanen hain!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now