Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gae

MORE BYRiyaz Latif

    ghaas ke sabz maidān to rah ga.e haiñ faqat ḳhvāb meñ

    merā bhārī badan

    chāroñ pairoñ tahrīk par uTh ke chal to paḌā hai

    in āvāra galiyoñ añgḌā.iyoñ meñ

    magar shahr dauḌtī phirtī sāñsoñ se Takrā ke

    mismār hone lagī hai mirī har adā

    ab to āvāra galiyoñ parchhā.īñ meñ

    makkhiyāñ shauq se kar rahī haiñ zinā

    mirī maġhmūm aañkh ke aflāk par

    apnī dum ko hilā kar karūñ kab talak aañkh TeḌhī uḌānoñ ko sīdhī batā

    rāstoñ par bhaTakte hue

    ruuh parvarish ke liye

    do jahānoñ ke kāġhaz ko muñh meñ musalsal chabātī huuñ maiñ

    saarī ummat maañ ban ke

    apne phailāo meñ baiTh jaatī huuñ maiñ

    ab ke jab mujh ko maañ banāyā gayā to phir

    us muqaddas badan meñ jo ghar kar ga.e haiñ

    in andhe sahīfoñ se nikle hue duudh ke chand qatre piyo

    aur apne sarāboñ gahrā.iyoñ meñ jiyo

    ghas ke sabz maidan to rah gae hain faqat KHwab mein

    mera bhaari badan

    chaaron pairon ki tahrik par uTh ke chal to paDa hai

    in aawara galiyon ki angDaiyon mein

    magar shahr ki dauDti phirti sanson se Takra ke

    mismar hone lagi hai meri har ada

    ab to aawara galiyon ki parchhain mein

    makkhiyan shauq se kar rahi hain zina

    meri maghmum aankh ke aflak par

    apni dum ko hila kar karun kab talak aankh TeDhi uDanon ko sidhi bata

    raston par bhaTakte hue

    ruh ki parwarish ke liye

    do jahanon ke kaghaz ko munh mein musalsal chabaati hun main

    sari ummat ki man ban ke

    apne hi phailao mein baiTh jati hun main

    ab ke jab mujh ko man hi banaya gaya to phir

    us muqaddas badan mein jo ghar kar gae hain

    in andhe sahifon se nikle hue dudh ke chand qatre piyo

    aur apne sarabon ki gahraiyon mein jiyo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now