Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaalib

Rifat Sarosh

ghaalib

Rifat Sarosh

MORE BYRifat Sarosh

    bayān-e-'ġhālib'-e-rañgīñ-navā hai

    qalam shā.ir sajde meñ jhukā hai

    pa.e tāzīm saf-basta haiñ alfāz

    dil-e-shā.ir meñ ik tūfāñ bapā hai

    aqīdat us se har ahl-e-nazar ko

    ki vo fikr-o-nazar rahnumā hai

    vo ġhālib vo shahanshāh-e-ma.ānī

    vo 'ġhālib' jis azmat ġhair-fānī

    salāsat aur fasāhat allāh allāh

    ki dariyā-e-suḳhan māñge ravānī

    bahut ustād-e-shah the aur hoñge

    magar hogā na koī us saanī

    zarāfat us fitrat taqāza

    matānat us ke fikr-o-fan jauhar

    mohabbat ruuh us shā.irī

    kahāñ hoñge bhalā aise suḳhnavar

    zamāna kis liye us ko miTātā

    vo insāñ thā na thā harf-e-mukarrar

    zabāñ us zabān-e-zindagī hai

    bayāñ us bayān-e-āgahī hai

    bayan-e-'ghaalib'-e-rangin-nawa hai

    qalam shair ka sajde mein jhuka hai

    pae tazim saf-basta hain alfaz

    dil-e-shair mein ek tufan bapa hai

    aqidat us se har ahl-e-nazar ko

    ki wo fikr-o-nazar ka rahnuma hai

    wo ghaalib wo shahanshah-e-maani

    wo 'ghaalib' jis ki azmat ghair-fani

    salasat aur fasahat allah allah

    ki dariya-e-suKHan mange rawani

    bahut ustad-e-shah the aur honge

    magar hoga na koi us ka sani

    zarafat us ki fitrat ka taqaza

    matanat us ke fikr-o-fan ka jauhar

    mohabbat ruh us ki shairi ki

    kahan honge bhala aise suKHnawar

    zamana kis liye us ko miTata

    wo insan tha na tha harf-e-mukarrar

    zaban us ki zaban-e-zindagi hai

    bayan us ka bayan-e-agahi hai

    Source:

    Raushni Ka Safar (Pg. e-138 p-139)

    • Author: Rifat Sarosh
      • Edition: 1974
      • Publisher: Idaara-e-Ishat-e-Urdu, Amroha, U. P.
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now