Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gandhi ji ki yaad mein

Fazal Haq Azimabadi

gandhi ji ki yaad mein

Fazal Haq Azimabadi

MORE BYFazal Haq Azimabadi

    sulūk-e-nāravā-e-dār-e-fānī dekhte jaao

    hamārā haal bhī ai āñ-jahānī dekhte jaao

    na jaane tum kahāñ kar achānak ho ga.e pinhāñ

    paḌī ham par jo aafat nā-gahānī dekhte jaao

    bapā hai har taraf mātam siyah-poshī hai har jānib

    zamāna kar rahā hai nauha-ḳhvānī dekhte jaao

    suhāgan thā tire dam se ye hindustān ai baapū

    huī barbād ab is javānī dekhte jaao

    kabhī Daalo nazar hindostāñ ke baḳht-e-ḳhufta par

    zarā nākāmiyoñ kāmrānī dekhte jaao

    bahāreñ luT ga.iiñ saarī saarī vā.e-nākāmī

    ḳhizāñ har taraf hai hukmrānī dekhte jaao

    umīdoñ shajar murjhā gayā ham hind vāloñ

    nihāl-e-ārzū ye nishānī dekhte jaao

    jahāñ josh-e-nashāt-o-aish har-sū hukūmat thī

    vahāñ yās-o-alam hukmrānī dekhte jaao

    chaman meñ har taraf thī justujū gul anādil ko

    faqat sayyād ko thī bad-gumānī dekhte jaao

    tumheñ to dar-haqīqat chain hāsil ho gayā lekin

    hamāre bahr-e-ġham be-karānī dekhte jaao

    kahīñ koī nazar aatā nahīñ kis se kahe 'shāhid'

    ḳhudārā hālat-e-dard-e-nihānī dekhte jaao

    suluk-e-narawa-e-dar-e-fani dekhte jao

    hamara haal bhi ai aan-jahani dekhte jao

    na jaane tum kahan ja kar achanak ho gae pinhan

    paDi hum par jo aafat na-gahani dekhte jao

    bapa hai har taraf matam siyah-poshi hai har jaanib

    zamana kar raha hai nauha-KHwani dekhte jao

    suhagan tha tere dam se ye hindustan ai bapu

    hui barbaad ab is ki jawani dekhte jao

    kabhi Dalo nazar hindostan ke baKHt-e-KHufta par

    zara nakaamiyon ki kaamrani dekhte jao

    bahaaren luT gain sari ki sari wae-nakaami

    KHizan ki har taraf hai hukmrani dekhte jao

    umidon ka shajar murjha gaya hum hind walon ki

    nihaal-e-arzu ki ye nishani dekhte jao

    jahan josh-e-nashat-o-aish ki har-su hukumat thi

    wahan yas-o-alam ki hukmrani dekhte jao

    chaman mein har taraf thi justuju gul ki anadil ko

    faqat sayyaad ko thi bad-gumani dekhte jao

    tumhein to dar-haqiqat chain hasil ho gaya lekin

    hamare bahr-e-gham ki be-karani dekhte jao

    kahin koi nazar aata nahin kis se kahe 'shahid'

    KHudara haalat-e-dard-e-nihani dekhte jao

    Source:

    Jazbat-e-Shahid (Pg. 36)

    • Author: Fazal Haq Azimabadi
      • Publisher: Mohammad Tauheed Anwar
      • Year of Publication: 2007

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now