gandhi
tū ai gāñdhī 'ilāj-e-dard-e-insāñ ban ke aayā thā
añdherī raat meñ sub.h-e-daraḳhshāñ ban ke aayā thā
rumūz-e-zindagī ko faash karne qalb-e-ādam par
charāġh-e-āgahī qindīl-e-'irfāñ ban ke aayā thā
rasīlā giit ban kar chhā gayā muflis kī mahfil meñ
jahān-e-zar meñ shor-e-barq-o-bārāñ ban ke aayā thā
safīna nazm-e-shāhī kā Dubo kar dam liyā jis ne
tū vo jamhūriyat kā tund tūfāñ ban ke aayā thā
dil-e-mazlūm ke haq meñ tirī hastī thī ik lorī
sitamgar ke liye ḳhvāb-e-pareshāñ ban ke aayā thā
vatan kyā saarī duniyā jis ke jalvoñ se damak uTThī
tū charḳh-e-hind kā vo māh-e-tābāñ ban ke aayā thā
jahān-e-'ishq meñ tū guuñj uThā sāz-e-vafā ban kar
riyāz-e-ādmiyyat meñ bahārāñ ban ke aayā thā
ġhulāmī kī bhayānak tīrgī ko Das liyā jis ne
tū āzādī kī vo sham'-e-farozāñ ban ke aayā thā
farishtoñ kā taqaddus thā tire kirdār meñ pinhāñ
bazāhir dahr meñ tū ek insāñ ban ke aayā thā
tu ai gandhi 'ilaj-e-dard-e-insan ban ke aaya tha
andheri raat mein subh-e-daraKHshan ban ke aaya tha
rumuz-e-zindagi ko fash karne qalb-e-adam par
charagh-e-agahi qindil-e-'irfan ban ke aaya tha
rasila git ban kar chha gaya muflis ki mahfil mein
jahan-e-zar mein shor-e-barq-o-baran ban ke aaya tha
safina nazm-e-shahi ka Dubo kar dam liya jis ne
tu wo jamhuriyat ka tund tufan ban ke aaya tha
dil-e-mazlum ke haq mein teri hasti thi ek lori
sitamgar ke liye KHwab-e-pareshan ban ke aaya tha
watan kya sari duniya jis ke jalwon se damak uTThi
tu charKH-e-hind ka wo mah-e-taban ban ke aaya tha
jahan-e-'ishq mein tu gunj uTha saz-e-wafa ban kar
riyaz-e-admiyyat mein bahaaran ban ke aaya tha
ghulami ki bhayanak tirgi ko Das liya jis ne
tu aazadi ki wo sham'-e-farozan ban ke aaya tha
farishton ka taqaddus tha tere kirdar mein pinhan
bazahir dahr mein tu ek insan ban ke aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.