aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gandhi

Iqbal Sohail

gandhi

Iqbal Sohail

MORE BYIqbal Sohail

    vo hadīs-e-rūh payām-e-jāñ jise ham ne sun ke bhulā diyā

    vo harīm-e-ġhaib armuġhāñ jise ke ham ne gañvā diyā

    vo mulk-o-millat-e-jāñ-ba-lab jise us ne āb-e-baqā diyā

    usī nā-sipās ne haa.e ab use jām-e-marg pilā diyā

    hameñ jis ne fat.h dilā.ī thī use ḳhāk-o-ḳhūñ meñ milā diyā

    hameñ jis ne raah dikhā.ī thī use rāste se haTā diyā

    use ittibā-e-masīh ne vo ajiib dast-e-shifā diyā

    jo gire the un ko uThā diyā jo mare the un ko jalā diyā

    jo uThā thā sho.ala-e-shor-o-shar use apne ḳhuuñ se bujhā diyā

    jo paḌā thā parda nigāhoñ meñ use aap uTh ke uThā diyā

    vo ḳhamīda-qad ḳham-e-māh--enau vo nazar-fareb ḳhunuk zau

    vo nigāh-e-barq-e-amal rau ki diloñ ko jis ne hilā diyā

    vo faroġh-baḳhsh-e-har-anjuman ki zamāna-bhar meñ thā zau-fagan

    vo charāġh-e-bazm gah-e-vatan kisī tīra-dil ne bujhā diyā

    vo kitāb-e-sulh sar-varaq ki miTā.ī kashmakash-e-firaq

    vo qatīl-e-ḳhanjar-e-sabr-o-haq ki vatan pe ḳhud ko miTā diyā

    vo bodh aur kirshn jā-nashīñ hama-tan amal hama-tan yaqīñ

    vo tabassum-e-sahar-āfrīñ ki chaman laboñ se khilā diyā

    vo ba-rañg-e-ā.īna sāf-dil vo faroġh-e-fitrat-e-āb-o-gil

    ki jihād-e-nafs ne mustaqil use aur husn-e-jilā diyā

    vo jalāl-e-sheva-e-sādgī vo jamāl-e-sūrat-e-zindagī

    vo zulāl-e-chashma-e-āgahī ki zamāna-bhar ko jagā diyā

    vo sharāra barq-e-hayāt vo sitārā rāh-e-najāt

    vo manāra azm-o-sabāt jise fitna-sāz ne Dhā diyā

    asar us ab hai vasī.a-tar ki har ek dil meñ hai us ghar

    ye samajh ke ḳhush na hoñ fitna-gar ki use payām-e-fanā diyā

    tirī shaan kaun ghaTā sake use ḳhud ḳhudā ne baḌhā diyā

    ki tujhe baqā-e-davām tujhe mansab-e-shohdā diyā

    tirī ḳhāmushī vo zabān thī ki diloñ ko josh-e-navā diyā

    tan-e-fāqa-kash meñ vo jaan thī ki hisār-e-kibr hilā diyā

    vatan-e-azīz ko shaan use qaid-e-ġham se chhuḌā diyā

    rah-e-ittihād meñ jaan jo kahā vo kar ke dikhā diyā

    jinheñ zer kar na sakā sitam hue said-e-silsila-e-karam

    tirī nekiyoñ ne tirī qasam sar-e-ḳhud-sarī ko jhukā diyā

    ye urūs-e-kishvar-e-hind thī hama bekasī hama bad-dilī

    use ne ġhāza-e-ḳhurramī tire ḳhuuñ ne rañg-e-hinā diyā

    tujhe mandiroñ ne sadā.eñ diiñ ki tire karam se amaañ milī

    tujhe masjidoñ ne duā.eñ diiñ ki tabāhiyoñ se bachā diyā

    ye kamāl-e-pairavī-e-alī ye farāḳh-hauslagī tirī

    ki ḳhud apne dushman-e-jāñ ko bhī vahī armuġhān-e-duā diyā

    tujhe bekasī ne sipāh tujhe mushkilāt ne raah

    tujhe bijliyoñ ne panāh tujhe talḳhiyoñ ne mazā diyā

    yahī dharm hai yahī asl diiñ ki ho qaul sach to amal hasīñ

    haq-o-ahl-e-haq pe rahe yaqīñ ye payām sab ko sunā diyā

    hama raushnī tirī zaat thī hama soz terī hayāt thī

    tirī ruuh sham.a thī gul huī tire tan ko phuul banā diyā

    tirā faiz dahr meñ aam ho ye ġhubār uTh ke ġhamām ho

    tirī ḳhaak terā payām ho ye samajh ke is ko bahā diyā

    wo hadis-e-ruh payam-e-jaan jise hum ne sun ke bhula diya

    wo harim-e-ghaib ka armughan jise pa ke hum ne ganwa diya

    wo mulk-o-millat-e-jaan-ba-lab jise us ne aab-e-baqa diya

    usi na-sipas ne hae ab use jam-e-marg pila diya

    hamein jis ne fath dilai thi use KHak-o-KHun mein mila diya

    hamein jis ne rah dikhai thi use raste se haTa diya

    use ittiba-e-masih ne wo ajib dast-e-shifa diya

    jo gire the un ko uTha diya jo mare the un ko jala diya

    jo uTha tha shoala-e-shor-o-shar use apne KHun se bujha diya

    jo paDa tha parda nigahon mein use aap uTh ke uTha diya

    wo KHamida-qad KHam-e-mah--enau wo nazar-fareb KHunuk si zau

    wo nigah-e-barq-e-amal ki rau ki dilon ko jis ne hila diya

    wo farogh-baKHsh-e-har-anjuman ki zamana-bhar mein tha zau-fagan

    wo charagh-e-bazm gah-e-watan kisi tira-dil ne bujha diya

    wo kitab-e-sulh ka sar-waraq ki miTai kashmakash-e-firaq

    wo qatil-e-KHanjar-e-sabr-o-haq ki watan pe KHud ko miTa diya

    wo bodh aur kirshn ka ja-nashin hama-tan amal hama-tan yaqin

    wo tabassum-e-sahar-afrin ki chaman labon se khila diya

    wo ba-rang-e-aina saf-dil wo farogh-e-fitrat-e-ab-o-gil

    ki jihad-e-nafs ne mustaqil use aur husn-e-jila diya

    wo jalal-e-shewa-e-sadgi wo jamal-e-surat-e-zindagi

    wo zulal-e-chashma-e-agahi ki zamana-bhar ko jaga diya

    wo sharara barq-e-hayat ka wo sitara rah-e-najat ka

    wo manara azm-o-sabaat ka jise fitna-saz ne Dha diya

    asar us ka ab hai wasia-tar ki har ek dil mein hai us ka ghar

    ye samajh ke KHush na hon fitna-gar ki use payam-e-fana diya

    teri shan kaun ghaTa sake use KHud KHuda ne baDha diya

    ki tujhe baqa-e-dawam di tujhe mansab-e-shohda diya

    teri KHamushi wo zaban thi ki dilon ko josh-e-nawa diya

    tan-e-faqa-kash mein wo jaan thi ki hisar-e-kibr hila diya

    watan-e-aziz ko shan di use qaid-e-gham se chhuDa diya

    rah-e-ittihad mein jaan di jo kaha wo kar ke dikha diya

    jinhen zer kar na saka sitam hue said-e-silsila-e-karam

    teri nekiyon ne teri qasam sar-e-KHud-sari ko jhuka diya

    ye urus-e-kishwar-e-hind thi hama bekasi hama bad-dili

    use tu ne ghaza-e-KHurrami tere KHun ne rang-e-hina diya

    tujhe mandiron ne sadaen din ki tere karam se aman mili

    tujhe masjidon ne duaen din ki tabahiyon se bacha diya

    ye kamal-e-pairawi-e-ali ye faraKH-hauslagi teri

    ki KHud apne dushman-e-jaan ko bhi wahi armughan-e-dua diya

    tujhe bekasi ne sipah di tujhe mushkilat ne rah di

    tujhe bijliyon ne panah di tujhe talKHiyon ne maza diya

    yahi dharm hai yahi asl din ki ho qaul sach to amal hasin

    haq-o-ahl-e-haq pe rahe yaqin ye payam sab ko suna diya

    hama raushni teri zat thi hama soz teri hayat thi

    teri ruh shama thi gul hui tere tan ko phul bana diya

    tera faiz dahr mein aam ho ye ghubar uTh ke ghamam ho

    teri KHak tera payam ho ye samajh ke is ko baha diya

    Source:

    Urdu Me.n Qaumi Shayri ke 100 Saal (Pg. E-365 B-370)

      • Edition: 1959
      • Publisher: Parkashan Shakha Mohkam-e-Ittilaat, U. P.
      • Year of Publication: 1959

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now