Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghair-nisabi tariKH

Iliyas Babar Aawan

ghair-nisabi tariKH

Iliyas Babar Aawan

MORE BYIliyas Babar Aawan

    shāhī darbār maiñ ḳhādim-e-ḳhās elaan

    taḳhliya

    raqs-e-junūñ-ḳhez pe nau-ḳhez badan

    shahr maiñ ādam-e-ḳhākī kai lahū qīmat

    dene aa.e haiñ mahārāj ke maiḳhāne maiñ

    rañg aur nuur barsāt ke beach

    kaun dekhegā be-sar lāsheñ

    nau-badan jām-e-tahayyur nayā zā.iqa haiñ

    jan pe do-laḳht kiye jaate haiñ mulkoñ ke badan

    shāhī darbār meñ mahārāj elaan

    sāhibo

    dhuñd tahzīb parchār karo

    jin par na.are haiñ likhe ghar vo tah-e-ḳhāk karo

    shahr meñ gūñje faqat naġhma-e-tausīf-e-riyā

    hurmat-e-harf ho pāband-e-shikoh-e-aivāñ

    zikr mat ho kahīñ jalte hue ḳhiyām bas

    sirf tārīḳh maiñ chamke mirā farmān-e-shahī

    shāhī darbār meñ vazīr-e-bā-tadbīr mashvara

    taḳhliya

    sāhibo ye vaqt hai sarshārī

    faisle kal pe uThā rakhte haiñ mustaqbil ke

    is samay shahr meñ barpā karo jaadū koī

    log masrūf raheñ vaqt guzar jaa.e bas

    ḳhaak ho jā.eñgī sadiyāñ yūñhī qadmoñ ke tale

    shāhī darbār meñ mahārāj muḳhbir-e-ḳhās ko hukm

    lahn-e-sālār batā haal zamāne mujhe

    us meñ bas mujh ko batā merī ḳhabar bābat

    mat sunā ḳhasta zamānoñ shikasta bāteñ

    lafz likh mere liye nok-e-qalam se aur phir

    shahar-bhar meñ yahī tārīḳh munādī kar de

    vaqt ke saare mo.arriḳh kareñ bai.at us

    phuul par ḳhuun nahīñ thā vo nam-e-shabnam thā

    ek ḳhāmosh riyāzat thī ajal chakkar

    be-badan ḳhvāb the tahzīb nau-rafta-mizāj

    shāhī darbār se bāhar re.āyā mizāj

    dosto yuuñ salāmat rahe aivāñ vaqār

    rizq maltā rahe ra.anā.ī āñkhoñ ko yūñhī

    yuuñ baTtī rahe ḳhairāt-e-kafan gard-e-yaqīñ

    yuuñ miltī rahe qabroñ ke liye muft zamīñ

    dosto yuuñ salāmat rahe aivāñ vaqār

    shahi darbar main KHadim-e-KHas ka elan

    taKHliya

    raqs-e-junun-KHez pe nau-KHez badan

    shahr main aadam-e-KHaki kai lahu ki qimat

    dene aae hain mahaaraj ke maiKHane main

    rang aur nur ki barsat ke beach

    kaun dekhega be-sar ki lashen

    nau-badan jam-e-tahayyur ka naya zaiqa hain

    jan pe do-laKHt kiye jate hain mulkon ke badan

    shahi darbar mein mahaaraj ka elan

    sahibo

    dhund ki tahzib ka parchaar karo

    jin par nare hain likhe ghar wo tah-e-KHak karo

    shahr mein gunje faqat naghma-e-tausif-e-riya

    hurmat-e-harf ho paband-e-shikoh-e-aiwan

    zikr mat ho kahin jalte hue KHiyam ka bas

    sirf tariKH main chamke mera farman-e-shahi

    shahi darbar mein wazir-e-ba-tadbir ka mashwara

    taKHliya

    sahibo ye waqt hai sarshaari ka

    faisle kal pe uTha rakhte hain mustaqbil ke

    is samay shahr mein barpa karo jadu koi

    log masruf rahen waqt guzar jae bas

    KHak ho jaengi sadiyan yunhi qadmon ke tale

    shahi darbar mein mahaaraj ka muKHbir-e-KHas ko hukm

    lahn-e-salar bata haal zamane ka mujhe

    us mein bas mujh ko bata meri KHabar ki babat

    mat suna KHasta zamanon ki shikasta baaten

    lafz likh mere liye nok-e-qalam se aur phir

    shahar-bhar mein yahi tariKH munadi kar de

    waqt ke sare moarriKH karen baiat us ki

    phul par KHun nahin tha wo nam-e-shabnam tha

    ek KHamosh riyazat thi ajal ka chakkar

    be-badan KHwab the tahzib ka nau-rafta-mizaj

    shahi darbar se bahar reaya ka mizaj

    dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar

    rizq malta rahe ranai ka aankhon ko yunhi

    yun hi baTti rahe KHairaat-e-kafan gard-e-yaqin

    yun hi milti rahe qabron ke liye muft zamin

    dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now