Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ganga

MORE BYSuroor Jahanabadi

    ai āb-rūd-e-gañgā uf tirī safā.ī

    ye terā husn dil-kash ye tarz-o-dil-rubā.ī

    terī tajalliyāñ haiñ jalva-farosh ma.anī

    tanvīr meñ hai terī ik shān-e-kibriyā.ī

    jamunā tirī sahelī go saath hai khelī

    us meñ magar kahāñ hai terī jāñ-fazā.ī

    be-laus terā dāman hai dāġh-e-ma.asiyat se

    mauzūñ hai tere qad par malbūs-e-pārsā.ī

    dil-band ham haiñ tere laḳht-e-jigar haiñ tere

    naḳhl-e-murād hai tau aur ham samar haiñ tere

    mīnū-savād tujh se haiñ vādiyāñ hamārī

    aur kisht-e-ārzū hai rashk-e-jināñ hamārī

    vo din bhī hogā hoñge jab ham ġharīq-e-rahmat

    aur terī nazr hoñgī ye haDDiyāñ hamārī

    gañgā meñ pheñk aanā ba.ad-e-fanā uThā kar

    barbād ho na miTTī o āsmāñ hamārī

    yārab na dafn kar ke ahbāb bhuul jaa.eñ

    le kar hamāre ḳhush ḳhush gañgā ko phuul jaa.eñ

    o paak nāznīn o phūloñ ke gahne vaalī

    sarsabz vādiyoñ ke dāman meñ bahne vaalī

    o nāz-āfrīñ o sidq-o-safā devī

    o iffat-e-mujassam parbat rahne vaalī

    salle-alā ye terī maujoñ gungunānā

    vahdat ye tarāna o chup na rahne vaalī

    husn-e-ġhayūr terā hai be-niyāz hastī

    to bahr-e-ma.arfat hai o pāk-bāz hastī

    haañ tujh ko justujū hai kis bahr-e-be-karāñ

    ham par to kuchh haqīqat khultī nahīñ jahāñ

    ai parda-soz imkāñ ai jalva-rez irfāñ

    to sham-e-anjuman hai kis bazm-e-dil-sitāñ

    kyuuñ jāda-e-talab meñ phirtī kashāñ kashāñ hai

    tujh ko talāsh hai kis gum-gashta kārvāñ

    jaatī hai kahāñ ko aatī hai kahāñ se

    dil-bastagī hai tujh ko kis bahr-e-be-nishāñ se

    aa.ī nazar tajallī jab shāhid azal

    zarroñ meñ ke chamkī phūloñ meñ ke jhalkī

    hindostān hai ik dariyā-e-husn-e-qudrat

    aur us meñ pañkhuḌī hai ḳhushnumā kañval

    niklī himaliya se mahv-e-ḳharosh ho kar

    aah tishna-lab thī vo jalva-e-azal

    kartī huī zamīñ par motī nisār aa.ī

    darshan ko aah har ke haridvār aa.ī

    ye josh-e-sabza-e-gul ye terī āb-bārī

    qudrat ke chappe chappe par ye shagūfa-kārī

    hindostāñ ko ne jannat-nishāñ banāyā

    nahreñ kahāñ kahāñ haiñ tere karam jaarī

    ai āb-rūd-e-gañgā maujoñ meñ tere mil kar

    mauj-e-sarāb-e-hastī ho be-nishāñ hamārī

    ba.ad-e-fanā hamāre phūloñ meñ ho terī

    gum hoñ rah-e-talab meñ to justujū ho terī

    aa.e ajal zau par jab apnī umr-e-fānī

    aur ḳhatm rafta rafta ho sail-e-zindagānī

    duniyā se aah jab ho apnī safar sāmāñ

    bālīñ pe aqrbāñ hoñ sargarm-e-nauha-ḳhvānī

    jab hoñT ḳhushk hoñ aur dushvār ho tanaffus

    ahbāb apne muñh meñ Tapkā.eñ terā paanī

    hañste hue jahāñ se ham shād-kām jaa.eñ

    duniyā se ke terī ulfat jaam jaa.eñ

    ai aab-rud-e-ganga uf ri teri safai

    ye tera husn dil-kash ye tarz-o-dil-rubai

    teri tajalliyan hain jalwa-farosh mani

    tanwir mein hai teri ek shan-e-kibriyai

    jamuna teri saheli go sath ki hai kheli

    us mein magar kahan hai teri si jaan-fazai

    be-laus tera daman hai dagh-e-masiyat se

    mauzun hai tere qad par malbus-e-parsai

    dil-band hum hain tere laKHt-e-jigar hain tere

    naKHl-e-murad hai tau aur hum samar hain tere

    minu-sawad tujh se hain wadiyan hamari

    aur kisht-e-arzu hai rashk-e-jinan hamari

    wo din bhi hoga honge jab hum ghariq-e-rahmat

    aur teri nazr hongi ye haDDiyan hamari

    ganga mein phenk aana baad-e-fana uTha kar

    barbaad ho na miTTi o aasman hamari

    yarab na dafn kar ke ahbab bhul jaen

    le kar hamare KHush KHush ganga ko phul jaen

    o pak naznin o phulon ke gahne wali

    sarsabz wadiyon ke daman mein bahne wali

    o naz-afrin o sidq-o-safa ki dewi

    o iffat-e-mujassam parbat ki rahne wali

    salle-ala ye teri maujon ka gungunana

    wahdat ka ye tarana o chup na rahne wali

    husn-e-ghayur tera hai be-niyaz hasti

    to bahr-e-marfat hai o pak-baz hasti

    han tujh ko justuju hai kis bahr-e-be-karan ki

    hum par to kuchh haqiqat khulti nahin jahan ki

    ai parda-soz imkan ai jalwa-rez irfan

    to sham-e-anjuman hai kis bazm-e-dil-sitan ki

    kyun jada-e-talab mein phirti kashan kashan hai

    tujh ko talash hai kis gum-gashta karwan ki

    jati hai tu kahan ko aati hai tu kahan se

    dil-bastagi hai tujh ko kis bahr-e-be-nishan se

    aai nazar tajalli jab shahid azal ki

    zarron mein ja ke chamki phulon mein ja ke jhalki

    hindostan hai ek dariya-e-husn-e-qudrat

    aur us mein pankhuDi hai tu KHushnuma kanwal ki

    nikli himaliya se mahw-e-KHarosh ho kar

    tu aah tishna-lab thi wo jalwa-e-azal ki

    karti hui zamin par moti nisar aai

    darshan ko aah har ke tu haridwar aai

    ye josh-e-sabza-e-gul ye teri aab-bari

    qudrat ke chappe chappe par ye shagufa-kari

    hindostan ko tu ne jannat-nishan banaya

    nahren kahan kahan hain tere karam ki jari

    ai aab-rud-e-ganga maujon mein tere mil kar

    mauj-e-sarab-e-hasti ho be-nishan hamari

    baad-e-fana hamare phulon mein bu ho teri

    gum hon rah-e-talab mein to justuju ho teri

    aae ajal ki zau par jab apni umr-e-fani

    aur KHatm rafta rafta ho sail-e-zindagani

    duniya se aah jab ho apni safar ka saman

    baalin pe aqrban hon sargarm-e-nauha-KHwani

    jab honT KHushk hon aur dushwar ho tanaffus

    ahbab apne munh mein Tapkaen tera pani

    hanste hue jahan se hum shad-kaam jaen

    duniya se pi ke teri ulfat ka jam jaen

    Source:

    Tasvir-e-Manazil (Jild Avval) (Pg. 42 e-79)

      • Publisher: Urdu Markaz, Lahore

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now