Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gar aisa ho jae

Raza Ali Abidi

gar aisa ho jae

Raza Ali Abidi

MORE BYRaza Ali Abidi

    chiḌiyā charḳhā kaate

    chūhā motī Tāñke

    billī biin bajā.e

    kavvā gaanā gaa.e

    murġhī likkhe giit

    ho kachhve jiit

    titlī paḌhe kitāb

    machhlī khaa.e kabāb

    kuttā bole myā.un

    maiñ chūhoñ ko khā.ūñ

    sher kabhī sharmā.e

    makkhī roz nahā.e

    imlā likkhe bandar

    paḌhne jaa.e kabūtar

    gar aisā ho jaa.e

    baḌā mazā phir aa.e

    chiDiya charKHa kate

    chuha moti Tanke

    billi bin bajae

    kawwa gana gae

    murghi likkhe git

    ho kachhwe ki jit

    titli paDhe kitab

    machhli khae kabab

    kutta bole myaun

    main chuhon ko khaun

    sher kabhi sharmae

    makkhi roz nahae

    imla likkhe bandar

    paDhne jae kabutar

    gar aisa ho jae

    baDa maza phir aae

    Source:

    Pahla Tara (Pg. 41)

    • Author: Raza Ali Abidi
      • Publisher: Sang-e-Meel Publications, Lahore

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now