Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gharib-KHane mein

Khalid Irfan

gharib-KHane mein

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    ḳhudā qudrat vo naak apnī baḌe gharāne meñ ghis ga.e haiñ

    jo aqrabā se akaḌ rahe the vo samdhiyāne meñ ghis ga.e haiñ

    hamāre ghar tiin roz rah kar chale ga.e vo black-beauty

    magar kam-az-kam pachās sābun ġharīb-ḳhāne meñ ghis ga.e haiñ

    milī hai jab bhī unheñ vazārat assembly ho ga.ī muattal

    hamārī millat ke rahnumā to halaf uThāne meñ ghis ga.e haiñ

    jo tere vālid ne merī shādī pe ek joḌī diye the juute

    vo tere maike shāh-rāhoñ pe aane jaane meñ ghis ga.e haiñ

    sahar ko uThtī nahīñ haiñ begam baġhair tabla baġhair sargam

    hamāre ghar ke tamām bartan unheñ jagāne meñ ghis ga.e haiñ

    mushā.ere meñ sunā.ī ham ne jo DheḌh-sau sher musaddas

    bahut se shā.er to rakkhe rakkhe shāmiyāne meñ ghis ga.e haiñ

    KHuda ki qudrat wo nak apni baDe gharane mein ghis gae hain

    jo aqraba se akaD rahe the wo samdhiyane mein ghis gae hain

    hamare ghar tin roz rah kar chale gae wo black-beauty

    magar kam-az-kam pachas sabun gharib-KHane mein ghis gae hain

    mili hai jab bhi unhen wazarat assembly ho gai muattal

    hamari millat ke rahnuma to halaf uThane mein ghis gae hain

    jo tere walid ne meri shadi pe ek joDi diye the jute

    wo tere maike ki shah-rahon pe aane jaane mein ghis gae hain

    sahar ko uThti nahin hain begam baghair tabla baghair sargam

    hamare ghar ke tamam bartan unhen jagane mein ghis gae hain

    mushaere mein sunai hum ne jo DheDh-sau sher ki musaddas

    bahut se shaer to rakkhe rakkhe hi shamiyane mein ghis gae hain

    Source:

    No Problem (Pg. 83)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now