garmi dur bhaga de ya-rab
garmī duur bhagā de yā-rab
ab bārish barsā de yā-rab
ye sūraj ham insānoñ ko
dekh na ab jhulsā de yā-rab
saarī duniyā kum.hlā.ī hai
ThanDī havā chalā de yā-rab
naddī naale suukh ga.e haiñ
in meñ naav tirā de yā-rab
bāġhoñ ke sab phuul haiñ sūkhe
in kā ruup khilā de yā-rab
meñDak aur jheñgur so.e haiñ
ab to inheñ jagā de yā-rab
jin ke paas na ac cōler
jiinā unheñ sikhā de yā-rab
nazreñ sab kī Tikī haiñ tujh par
apnī shaan dikhā de yā-rab
khetoñ ko jal-thal kar de tū
fasleñ ḳhuub ugā de yā-rab
ham bachchoñ kī sun fariyādeñ
ab mat aur sazā de yā-rab
garmi dur bhaga de ya-rab
ab barish barsa de ya-rab
ye suraj hum insanon ko
dekh na ab jhulsa de ya-rab
sari duniya kumhlai hai
ThanDi hawa chala de ya-rab
naddi nale sukh gae hain
in mein naw tera de ya-rab
baghon ke sab phul hain sukhe
in ka rup khila de ya-rab
meinDak aur jhengur soe hain
ab to inhen jaga de ya-rab
jin ke pas na ac cooler
jina unhen sikha de ya-rab
nazren sab ki Tiki hain tujh par
apni shan dikha de ya-rab
kheton ko jal-thal kar de tu
faslen KHub uga de ya-rab
hum bachchon ki sun fariyaaden
ab mat aur saza de ya-rab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.