Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

girl-friend

Prem Warbartani

girl-friend

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    surma.ī ret pagDanDī par

    sañg-e-marmar chaTānoñ dil-āvez shabāb

    shaam ke sho.ala-nafas rañg meñ tahlīl huā

    haath meñ haath liye baḌhte rahe do saa.e

    aur ḳhāmosh chanāroñ sulagtī āñkheñ

    mahv-e-dīdār rahīñ

    do javāñ ḳhvāb, khule jism, barahna jaame

    ek lai meñ dhaḌakte hue do hañgāme

    jaam the haath meñ donoñ ke magar ā.ankhoñ meñ

    ek machlā huā armān thā mad-hoshī

    kyā junūñ-ḳhez nazāra thā ham-āġhoshī

    lazzat-e-vasl se sarshār the dīvāne do

    daf.atan duur jūñhī shaam Dhale diip jale

    koī bikhrī huī zulfoñ ko jhaTak kar bolā

    mujh ko milnā hai kisī aur se bhī jaane do

    surmai ret ki pagDanDi par

    sang-e-marmar ki chaTanon ka dil-awez shabab

    sham ke shoala-nafas rang mein tahlil hua

    hath mein hath liye baDhte rahe do sae

    aur KHamosh chanaron ki sulagti aankhen

    mahw-e-didar rahin

    do jawan KHwab, khule jism, barahna jame

    ek hi lai mein dhaDakte hue do hangame

    jam the hath mein donon ke magar aaankhon mein

    ek machla hua arman tha mad-hoshi ka

    kya junun-KHez nazara tha ham-aghoshi ka

    lazzat-e-wasl se sarshaar the diwane do

    dafatan dur junhi sham Dhale dip jale

    koi bikhri hui zulfon ko jhaTak kar bola

    mujh ko milna hai kisi aur se bhi jaane do

    Source:

    Khushbu Ka Khwab (Pg. 91)

    • Author: Prem Warbartani
      • Edition: 1976
      • Publisher: Miss V. D. Kakkad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now