girls college ki lari
fazāoñ meñ hai sub.h kā rañg taarī
ga.ī hai abhī girls college kī laarī
ga.ī hai abhī gūñjtī gungunātī
zamāne kī raftār kā raag gaatī
lachaktī huī sī chhalaktī huī sī
bahaktī huī sī mahaktī huī sī
vo saḌkoñ pe phūloñ kī dhārī sī bantī
idhar se udhar se hasīnoñ ko chuntī
jhalakte vo shīshoñ meñ shādāb chehre
vo kaliyāñ sī khultī huī muñh andhere
vo māthe pe saaḌī ke rañgīñ kināre
sahar se nikaltī shafaq ke ishāre
kisī kī adā se ayaañ ḳhush-mazāqī
kisī kī nigāhoñ meñ kuchh niind baaqī
kisī kī nazar meñ mohabbat ke dohe
sakhī rī ye jīvan piyā bin na sohe
ye khiḌkī kā rañgīn shīsha girā.e
vo shīshe se rañgīn chehrā milā.e
ye chaltī zamīñ pe nigāheñ jamātī
vo hoñToñ meñ apne qalam ko dabātī
ye khiḌkī se ik haath bāhar nikāle
vo zaanū pe girtī kitābeñ sambhāle
kisī ko vo har baar tevarī sī chaḌhtī
dukānoñ ke taḳhte adhūre se paḌhtī
koī ik taraf ko simaTtī huī sī
kināre ko saaḌī ke baTtī huī sī
vo laarī meñ gūñje hue zamzame se
dabī muskurāhaT subuk qahqahe se
vo lahjoñ meñ chāñdī khanaktī huī sī
vo nazroñ se kaliyāñ chaTaktī huī sī
saroñ se vo āñchal Dhalakte hue se
vo shānoñ se sāġhar chhalakte hue se
javānī nigāhoñ meñ bahkī huī sī
mohabbat taḳhayyul meñ bahkī huī sī
vo aapas kī chheḌeñ vo jhūTe fasāne
koī un kī bātoñ ko kaise na maane
fasāna bhī un kā tarāna bhī un kā
javānī bhī un kī zamāna bhī un kā
fazaon mein hai subh ka rang tari
gai hai abhi girls college ki lari
gai hai abhi gunjti gungunati
zamane ki raftar ka rag gati
lachakti hui si chhalakti hui si
bahakti hui si mahakti hui si
wo saDkon pe phulon ki dhaari si banti
idhar se udhar se hasinon ko chunti
jhalakte wo shishon mein shadab chehre
wo kaliyan si khulti hui munh andhere
wo mathe pe saDi ke rangin kinare
sahar se nikalti shafaq ke ishaare
kisi ki ada se ayan KHush-mazaqi
kisi ki nigahon mein kuchh nind baqi
kisi ki nazar mein mohabbat ke dohe
sakhi ri ye jiwan piya bin na sohe
ye khiDki ka rangin shisha girae
wo shishe se rangin chehra milae
ye chalti zamin pe nigahen jamati
wo honTon mein apne qalam ko dabaati
ye khiDki se ek hath bahar nikale
wo zanu pe girti kitaben sambhaale
kisi ko wo har bar tewari si chaDhti
dukanon ke taKHte adhure se paDhti
koi ek taraf ko simaTti hui si
kinare ko saDi ke baTti hui si
wo lari mein gunje hue zamzame se
dabi muskurahaT subuk qahqahe se
wo lahjon mein chandi khanakti hui si
wo nazron se kaliyan chaTakti hui si
saron se wo aanchal Dhalakte hue se
wo shanon se saghar chhalakte hue se
jawani nigahon mein bahki hui si
mohabbat taKHayyul mein bahki hui si
wo aapas ki chheDen wo jhuTe fasane
koi un ki baaton ko kaise na mane
fasana bhi un ka tarana bhi un ka
jawani bhi un ki zamana bhi un ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.